Search
Sections
< All Topics
Print

38. DUNIYA KAY LIYE ILM HASIL KARNA AUR ILM CHUPAANA [Teaching for the sake of this world and concealing knowledge]

DUNIA KAY LIE ILM HASIL KARNA AUR ILM CHUPANA:

 

Allah ta’ala ne farmaya:

ۗ إِنَّمَا يَخْشَى ٱللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ ٱلْعُلَمَٰٓؤُا۟ ۗ

 

“Bat sirf yeh hai keh Allah kay bandon mein se ulama hi usse darte hain”

Fatir 35 : 28

 

Ya’ani Allah عزوجل ka ilm aur ma’arifat rakhne wale

 

Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya:


Murad yeh hai keh meri makhlooq mein se mujh se woh darta hai jo mere jabaroot (qudrat, taqat) ghalbe aur meri hukumrani ko janta hai

Mujahid aur Sho’bi رحمهما الله ne farmaya:
Aalim woh hai jo Allah se darta hai

Rubai’ bin Anas ne farmaya:
Jo shakhs Allah se nahin darta woh aalim nahin

Allah ta’ala ne farmaya:

إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَآ أَنزَلْنَا مِنَ ٱلْبَيِّنَٰتِ وَٱلْهُدَىٰ مِنۢ بَعْدِ مَا بَيَّنَّٰهُ لِلنَّاسِ فِى ٱلْكِتَٰبِ ۙ أُو۟لَٰٓئِكَ يَلْعَنُهُمُ ٱللَّهُ وَيَلْعَنُهُمُ ٱللَّٰعِنُونَ۞

 

“Beshak woh log jo Allah kay khule ehkam aur uski hidayat ko is kay ba’ad bhi chupa rahe hain jab keh ham ne logon kay lie kitab mein har hukum wazaht kay sath bayan kardia hai, un par Allah aur tamam la’anat karne wale la’anat karte hain.

Al-Baqarah 2 : 159

Yeh ayat ulamae yahood kay baare mein nazil hui aur البينات se rajam, hudood aur ehkam murad hain aur الهدى se Muhammad ﷺ ka amar aur apki sifat murad hai من بعد ما بيناه للناس ya’ani woh log jo chupate hain

يلعنهم الله ويلعنهم اللعنون
Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya: har cheez, na sirf jinn aur insan

Ibne Mas’ood رضي الله عنهما ne farmaya: do musalman aapas mein la’anat karte hain tou woh la’anat un yahoodo nasara par laut’ti hai jo Muhammad ﷺ kay amar aur unki sifat ko chupate hain.

Aur Allah ta’ala ne farmaya:

وَإِذْ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ ٱلَّذِينَ أُوتُوا۟ ٱلْكِتَٰبَ لَتُبَيِّنُنَّهُۥ لِلنَّاسِ وَلَا تَكْتُمُونَهُۥ

 

فَنَبَذُوهُ وَرَآءَ ظُهُورِهِمْ وَٱشْتَرَوْا۟ بِهِۦ ثَمَنًا قَلِيلًا ۖ فَبِئْسَ مَا يَشْتَرُونَ

 

“Aur (yad karo) jab Allah ne un logon se jo ehle kitab hain yeh ehed lia tha keh tum (is kitab ki ta’leemat) ko logon par wazeh karna aur chupana nahin, tou unhon ne is ehed ko pase pusht daal dia aur Allah ki kitab ko thori si qeemat par baich dala, so unhon ne bura sauda kia”

Aale Imran 3 : 187

Wahidi ne bayan kia: yeh ayat yahoode madinah kay baare mein nazil hui, Allah ne unse taurat mein ehed lia keh woh Muhammad ﷺ ki hesiat, apki sifat aur apki ba’sat kay muta’alliq bayan karen aur use chupaen nahin, aur Allah ta’ala ka yeh farman: لتبينه للناس ولا يكتمونه
Hasan Basri ne farmaya: yeh Allah ne ulamae yahood se ehed lia tha keh unki kitab mein jo kuch hai woh use wazeh karen aur us mein RasullAllah ﷺ ka zikar hai, aur ap kay farman فنبذوه وراء ظهورهم
Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya: ya’ani unhon ne is meesaq ko apni pusht peeche phenk dia, واشتروا به ثمنا قليلا
Ya’ani woh apne ilmi tasallut ki wajah se apne kamtar logon se jo hasil karte the فبئس ما يشترون
Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya: bura hai unka bechna aur unhon ne nuqsan uthaya

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jis shakhs ne woh ilm, jis se Allah ki raza hasil ki jati hai, dunia kay maalo mata’ kay husool ki khatir hasil kia tou woh jannat ki khushbu bhi nahin paaega” [Abu Dawood 3664]

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه ki hadith jis mein un 3 logon ka zikar hai jinko ghaseet kar Jahannum mein dhakel dia jaega, guzri hai. Un mein se aik woh hai jise kaha jaega tum ne tou islie ilm hasil kia tha keh tumhen aalim kaha jae aur woh keh dia gaya aur aap ﷺ ne farmaya:

“Jis shakhs ne ilm hasil kia taakeh us kay zarie ulama par fakhar kare ya us kay zarie se nadanon se behso mubahisa kare ya logon kay dilon ko apni taraf mutawajja kare tou (Uski yeh koshish ) Jahannum ki taraf hai aur aik riwayat mein yeh alfaz hain: “Allah use Jahannum mein dakhil karega” [Tirmidhi: 2654]

Aur Aap ﷺ ne farmaya:

“Jis shakhs se ilm kay muta’alliq pucha gaya aur us ne use chupaya tou use Roz-e-Qayamat aag ki lagam daali jaegi” [Abu Dawood: 3658]

Aur RasullAllah ﷺ ki Dua hoti thi:

“Main aise ilm se teri panah chahta hun jo nafa’mand na ho” [Muslim: 2722]

Aur aap ﷺ ne farmaya:

“Jis shakhs ne ilm hasil kia lekin us kay mutabiq amal na kia tou aisa ilm mehez us kay takabbur mein izafa karta hai “ [Tirmidhi]

Hazrat Abu Umama رضي الله عنه ne farmaya , RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Aalime soo’ ko Roz-e-Qayamat laya jaega tou use aag mein phenk dia jaega woh apni antarion kay sath aise ghoomega jese gadha chakki kay gird chakkar lagata hai, use kaha jaega tum isse kyun do chaar hue jab keh ham ne tou tumhari wajah se hidayat hasil ki thi tou woh kahega jis cheez se tumhen mana’ kia karta tha khud uska irtikab kia karta tha” [Bukhari: 3267; Muslim: 2689]

Ibne Alaa ne farmaya: ilm hasil karna mushkil hai, use yaad karna use hasil karne se ziada mushkil hai us par amal karna use yad karne se ziada mushkil hai aur usse salamti pana us par amal karne se bhi ziada mushkil hai, pas ham Allah se har qisam ki azmaish se salamti aur us kay pasandeedah umoor ki taufeeq chahte hain kyun keh woh sakhi daata fayyaz hai

NASEEHAT:

Ibne Adam ! Tum ma’amlat kay anjam ko kab yad karoge? Tum in mehellat se kab kooch karoge? Tu ne jo kuch ta’meer kia hai un mein kab tak ghoomta phirta rahega? Tum se pehle jo in manzilon aur gharon mein the woh kahan hain? Woh jis ne apni tadbeere soo’ se yeh yaqeen karlia tha keh woh wapas nahin paltega , kahan hai? Allah ki qasam! Un sab ne kooch kia aur qabron mein ja jama’ hue, unhon ne soor phoonke jane tak sakhto khurdure bichonon ko apna watan bana lia, jab woh faisla sunne kay lie uthenge tou aasman thartharaega

Hijabe makhfi khol die jaenge aur parde chaak kar die jaenge, af’aale ajaaib zahir honge aur jo kuch seenon mein hai zahir kar dia jaega, pul sirat ko nasab kar dia jaega aur kitne hi qadam thokar khaenge, wahan aankre lagae jaenge jo maghroor logon ko uchak lenge , muttaqi logon kay chehre chodhwin raat kay chand ki tarah chamakte honge aur woh us tijarat kay mustahiq thehre jis mein khasara nahin, jab keh faajir qisam kia log tabahio barbadi ki awaz lagaenge Jahannum ko lagamon kay sath laya jaega aur woh josh marti hogi jab unhen us mein daal dia jaega tou woh uski awaz sunenge aur woh josh marti hogi, dunia mein us shakhs kay lie koi suroor nahin jo Qayamat par iman rakhta hai dunia se sirf kafir ya jahil hi khush hota hai

إنما الدنيا متاع
 كل ما فيها غرور
فتذكر هول يوم
 السما فيه تمور

“Dunia sirf mata’ hai, us mein jo kuch hai woh dhoke ka saman hai, us din ki holnaki yad karo jab aasman thartharaega”

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

Table of Contents