Search
Sections
< All Topics
Print

40. IHSAAN JATLAANA [Reminding people of one’s charity]

 EHSAN JATANA

 

Allah ta’ala ne farmaya:

 

يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تُبْطِلُوا۟ صَدَقَٰتِكُم بِٱلْمَنِّ وَٱلْأَذَىٰ كَٱلَّذِى يُنفِقُ مَالَهُۥ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤْمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ ۖ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ صَفْوَانٍ عَلَيْهِ تُرَابٌ فَأَصَابَهُۥ وَابِلٌ فَتَرَكَهُۥ صَلْدًا ۖ لَّا يَقْدِرُونَ عَلَىٰ شَىْءٍ مِّمَّا كَسَبُوا۟ ۗ وَٱللَّهُ لَا يَهْدِى ٱلْقَوْمَ ٱلْكَٰفِرِينَ۞

 

“Iman daaron! Apne sadaqat ko ehsan jata kar aur aziat pohoncha kar zaya na karo”

Al-Baqarah 2 : 264

Wahidi ne farmaya: woh yeh hai keh koi cheez de kar ehsan jatae

Alkalbi ne kaha: apne sadqe kay baare mein Allah par ehsan jatae aur jisko de, use aziat pohonchae

Sahih Muslim mein hai keh RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“3 qisam kay log hain jin se Allah kalam karega na Roz-e-Qayamat unki taraf dekhega aur na hi unhen paak karega aur un kay lie dardnak azaab hoga izaar latkane wala ehsan jaltlane wala aur jhooti qasam se apna sauda bechne wala” [Muslim]

المسبل
Woh shakhs hai jo apne izaar ya apne kapre ya apni kameez ya apni shalwar ko is qadar latkae keh woh paun tak hojae islie keh aap ﷺ ne farmaya:

“Izaar jo takhnon se neeche hai woh aag mein hai “ [Abu Dawood; Ibne Majah]

Hadith mein yeh bhi hai:

“3 qisam kay log jannat mein nahin jaenge apne walidain ka nafarman aadi sharab nosh aur ehsan jaltlane wala “ [Muslim: 106]

Neez farmaya:

“Dhoke baaz bakheel aur ehsan jatane wala jannat mein nahin jaenge”

Nabi ﷺ se marwi hai keh aap ne farmaya:

“Tum naiki kar kay ehsan jatane se bacho kyun keh woh shukar ko baatil aur ajar ko khatam kar deta hai”

Phir RasullAllah ﷺ ne Allah عزوجل ka farman tilawat farmaya:

يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تُبْطِلُوا۟ صَدَقَٰتِكُم بِٱلْمَنِّ وَٱلْأَذَىٰ كَٱلَّذِى يُنفِقُ مَالَهُۥ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤْمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ ۖ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ صَفْوَانٍ عَلَيْهِ تُرَابٌ فَأَصَابَهُۥ وَابِلٌ فَتَرَكَهُۥ صَلْدًا ۖ لَّا يَقْدِرُونَ عَلَىٰ شَىْءٍ مِّمَّا كَسَبُوا۟ ۗ وَٱللَّهُ لَا يَهْدِى ٱلْقَوْمَ ٱلْكَٰفِرِينَ۞

 

“Iman daaron! Apne sadaqat ko ehsan jata kar aur aziat pohoncha kar zaya na karo”

Al-Baqarah 2 : 264

Ibne seeren ne aik aadmi ko dusre shakhs se kehte hue suna main ne tere sath ehsan kia main ne (ye) kia aur main ne (wo) kia

Ibne seeren ne use kaha: khamosh hojao, us naiki mein koi khairo bhalai nahi bjab use shumar kia jae aur un mein se ba’az kehte hain

Jis shakhs ne apni naiki kay sath ehsan jataya uska shukar karna saqit hogaya jis ne apne amal par fakhro ghuroor kia uska ajar zaya hogaya aur Shafa’i ne shair parhe:

لا تحملن من الأنام
بأن يمنوا عليك منه
واختر لنفسك حظها
واصبر فإن الصبر جنه
منن الرجال على القلوب
اشد من وقع الأسنه

 

“Tum logon se kuch na lo warna woh tum par ehsan karenge”

“Logon kay ehsanat dilon par nezon se ziada sakht waqe’ hote hain”

Aur un mein se kisi ne yeh shair parhe:

و صاحب سلفت منه إلى يد ابطاً عليه مکافاتی فعادانی
لما تيقن أن الدهر حاربني
أبدى الندامة مما كان أولاني
افسدت بالمن ما قدمت من حين
ليس الكريم إذا اعطى بمنان 

 

“Kisi shakhs ne mere sath ahsaan karne mein jaldi ki. Lekin jab main ne us kay ahsaan ka badla chukane mein taakhir ki tou wo mera dushman ban gaya.”

“Jab usse yaqeen hogaya keh zamane ne mujh se larai ki hai. Tou us ne us par jo mujh par ahsaan kiya tha. Nidamat jatlai.”

“Tum ne jo ahsaan kiya tha’ us par ahsaan jata kar usse zay’e kar diya. Wo shakhs sakhi nahi jo ahsaan jatane kay liye koi cheez deta hai.”

NASIHAT:

 

Gunahon ki taraf barhne wale ! Tujhe kis cheez ne jahil bana diya ! Tou us zaat kay bare mein kab tak dhoke mein mubtila rahega jis ne tujhe dheel di goya keh us ne tujhe bekar chhor diya hai? Goya keh to maut kay intizar mein hai halankeh wo tujh par aachuki aur us ne tujhe hal’lak kar diya jabkeh kooch hai aur farishte ne thaati khouf zida kar diya hai. Azmaish ne khuwaish kay ba’ad tujhe qaid kar diya aur tujhe bandh kar rakh diya aur to Azim boojh par Nadim hua jis ne tujhe bojhal kar diya. Fani cheez par mut’main hone wale! Teri khataen kis qadar hain. Nasihat o khair khuwahi se ai’raaz karne wale! Goya keh tujhe nasihat nahi ki gai. Tera mehboob jo hua karta tha wo kahan muntaqil hogaya hai? Aur jahan tak teri wa’az o nasihat ka ta’aluq hai tou wo us kay jisam talf hogai goya keh wo konwen ki teh mein utar gai wo maal kaseer aur umeed taweel kahan hai? Kia wo apne amal kay sath apni lehd mein tanha nahi gaya. Wo jo ghaflat mein apne kapre ko tak’kabur o ghuroor kay sath ghaseeta aur utarta tha kahan hai? Kia us ne us kay sath hi safar shoro nahi kiya aur wo ab tak kahan jaa puhncha?

Allah ki qasam! Us ki sa’adat mandi ka sitara ghaib aur chhup gaya wo pehle Shahnsha’ zoor awaz’ mutakabir log kahan hain? Un kay amwal kay koi aur malik ban gae jab keh Duniya aik gardish hai.

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

Table of Contents