Search
Sections
< All Topics
Print

20. Jo Khair ki taraf rahenumaee ya Bidd’at ki taraf bulae [Calling to right guidance and forbidding depravity]

20 ـ باب في الدلالة على خير والدعاء إلى هدى أو ضلالة 

 

20.  KHAIR KI TARAF RAHNUMAI KARNE AUR HADAAYAT YA GUMRAAHI KI TARAF BULANAY KA BAYAN

 

 

قال تعالى: (وَادْعُ إِلَى رَبِّكَ) (الحج: 67) ،

وقال تعالى: (ادْعُ إِلَى سَبِيلِ رَبِّكَ بِالْحِكْمَةِ وَالْمَوْعِظَةِ) (النحل: 125) .

وَقَالَ تَعَالَى : ﴿وَتَعَاوَنُوا عَلَى الْبِرِّ وَالتَّقْوَى)[الْمَائِدَة : 2]

وَقَالَ تَعَالَى : ﴿وَلْتَكُن مِّنكُمْ أُمَّةٌ يَدْعُونَ إِلَى

الخير ) . [آل عمران : 104] .

 

Allah taala ne farmaya : ” apne Rab ki taraf bulaao. “

aur Allah taala ne farmaya : ” apne Rab ke rastay ki taraf hikmat aur achhay waaz ke sath dawat degiye. “

aur Allah taala ne farmaya :  “aur Neki aur taqwa ( ke kamon ) mein aik dosray se taawun karo. “

aur farmaya : ” tum mein se aik giroh aisa hona chahiye jo logon ko khair ki taraf bulaye .”


173- وعن أبي مسعود عقبة بن عمرو الأنصاري البدي رضي الله عنه قال‏: ‏ قال رسول الله صلى الله عليه وسلم‏: ‏ ‏ “‏من دل على خير فله مثل أجر فاعله‏”‏ ‏(‌‏(‏رواه مسلم‏)‌‏)‌‏.‏

 

(173) Hazrat Abu Masood Uqba bin Amar Ansari Badri (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaya :” jis ne kisi bhalai par rahnumai ki to us ke liye us ke karne walay ke barabar ajur hai. ( Muslim )

 

TAKHREEJ:

Sahih Muslim, al Imaarati, baab fazl ieaanati alghazi fi Sabeelillah bi markoobi wagherihi .. Hadees : 1893.

 

FAAIDAH : 

Nabi ﷺ ne us waqt yeh irshad farmaya jab Aik shakhs ne aap se safar ke liye sawari mangi. aap ne farmaya : mere paas to sawari nahi hai. Aik shakhs ne kaha : main usay aisa aadmi batlata hon jo usay sawari muhayya kar day ga. chunanchay aap ne bhalai ki tar taraf rahnumai karne ka mazkoorah ajar bayan farmaya jis se Dalalat-aalal-khair ki targheeb millti hai, yani khair ki taraf rahnumai karna bhi baais ajar hai .

 


174- وعن أبي هريرة- رضي الله عنه- أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: ” من دعا إلى هُدى كان لهُ من الأجر مثل أجوز من تبعهُ لا ينقصُ ذلك من أجورهم شيئاً، ومن دعا إلى ضلالة كان عليه من الإثم مثل آثام من تبعهُ لا ينقصُ ذلك من آثامهم شيئاً” رواه مسلم.

 

(174) Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya : ” jis ne kisi ko hadaayat ki taraf bulaya to usay un tamam logon ke barabar ajar miley ga jo us ki pairwi karne walon ko miley ga. yeh un ke ajroon se kuchh kami nahi kere ga. aur jo kisi ko kisi gumraahi ki taraf bulaye ga to us par un tamam logon ke gunaahon ka itna wabaal bhi hoga jo us ki pairwi karne walon ko gunah karne ka ho ga. yeh un ke gunaahon mein kuchh kami nahi kere ga. ( Muslim )

 

TAKHREEJ: 

Sahih Muslim, al-ilm, baab man sanna sunnat an hasanat aw sayyiat wa man dua. Hadees: 2674 

 

FAAIDAH : 

Dawat day, bhulaye, ka matlab hai apne amal ya qaul se doosron ko Neki ya Buraiee ki targheeb day. us se yeh bhi maloom huwa ke Neki ya Buraiee ka sabab aur zareya ban’nay wala indallah majoor ya makhoz hoga, yani Allah ke haan usay ajar miley ga ya woh saza paye ga. balkay Neki ki targheeb par 

 

اضعافا مضاعفة

( kayi guna ziyada ) ajar wa sawaab ka mustahiq aur Buraiee ki targheeb par mutadid logon ke gunaahon ka bhi zimmay daar ho ga .

 


175- وعن أبي العباس سهل بن سعدٍ الساعدي- رضي الله عنه- أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال يوم خيبر: ” لاُعطين الراية غداً رجلاً، يفتح الله في يديه، يحبُ الله ورسوله، ويحبه الله ورسولهُ” فبات الناسُ يدوكُون ليلتهم أيهم يعطاها، فلما أصبح الناس غدوا على رسول الله صلى الله عليه وسلم: ” كلهم يرجو أن يعطاها، فقال: “أين عليّ بن أبي طالب؟ ” فقيل: يا رسول الله هو يشتكي عينيه، قال: ” فأرسلوا إليه” فأتى به، فبصق رسول الله صلى الله عليه وسلم في عينيه، ودعا لهُ، فبرأ حتى كان لم يكن به وجع، فأعطاهُ الرايةُ، فقال عليّ- رضي الله عنه : يا رسول الله! أقاتلهم حتى يكونوا مثلنا؟ فقال: ” انفذ على رسلك، حتى تنزل بساحتهم، ثم ادعهم إلى الإسلام، وأخبرهم بما يجبُ عليهم من حق الله تعالى فيه، فو الله! لأن يهدي الله بك رجلاً واحداً خير لك من حُمرِ النعم”. متفق عليه.

 

قوله: [يدوكون] أي يخوضون و يتحدثون. 

قوله: [رسلك]: بكسر الراء و بفتحها لغتان ، والكسر أفصح.

 

175 | Hazrat Abu Abbas Sahal bin Saad Saaidi (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne Khyber walay din irshad farmaya : ” main yeh jhanda kal aisay aadmi ko dun ga jis ke hathon par Allah taala fatah ataa farmaiye ga. woh Allah aur us ke Rasool se aur Allah aur us ka Rasool us se mohabbat karta hai.” chunanchay logon ne raat yeh behas karte hue guzari ke kon woh ( khush naseeb ) hoga jisay un mein se jhanda diya jaye ga. jab logon ne subah ki to Rasoolullah ﷺ ke paas aaye sab ke sab umeed rakhtay thay ke unhein jhanda diya jaye ga. aap ( ﷺ ) ne poochha : Ali bin Abi Taalib kahan hain? Allah ke Rasool ko batlaya gaya ke un ki ankhen dukhti hain. aap( ﷺ ) ne farmaya :” un ki taraf pegham bhaijho. chunanchay woh laaye gaye. Rasoolullah ﷺ ne un ki aankhon mein luaab mubarak lagaya aur un ke haq mein dua farmai. to woh is terhan theek hue jaisay unhein koi dard tha hi nahi. aap ( ﷺ ) ne unhein jhanda ataa farmaya. Hazrat Ali (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne kaha : aye Allah ke Rasool! main un se ladoon yahan tak ke woh ham jaisay ( Musalman ) ho jayeen? aap ( ﷺ ) ne farmaya : ( nahi balkay ) aaraam o sukoon ke sath chalo yahan tak ke tum un ke maidan mein padao daalo! phir un ko islam ki dawat do aur unhein btlao ke tum par Allah ke yeh yeh haq wajib hain. Allah ki qasam! tumhare zariye se kisi aik aadmi ka hadaayat Yafta ho jana tumhare liye ( besh qeemat ) surkh oonton se behtar hai .

( Bukhari-o-Muslim )

 

یدوکون

ke maienay hain : ghhor o khoz aur behas karte rahay. 

رسلك :

” ra” ke zair aur zabar ke sath dono lughatein hain taham zair ke sath ziyada Fasih hai .

 

TAKHREEJ:

Sahih ul-Bukhari al jihad was sayr baab fazl man Aslam aala yadaihi Rajal Hadees : 3009, Sahih Muslim, fazail Sahabati (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ). baab man fazayil Ali bin Taalib (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ), Hadees : 2406 wal lafz lahu.

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Is mein Hazrat Ali (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ki fazeelat aur Nabi ﷺ ke moajezae ke ilawa jehaad ke tareeqay ka bayan hai ke pehlay kafiroon ko islam ki dawat di jaye agar woh usay radd kar den to phir jehaad kiya jaye. 

2- Jehaad bhi aisa amal hai ke agar us ke zariye se ya us ke aaghaz mein dawat dainay se kuchh logon ko hadaayat naseeb ho jaye to jehaad mein shareek logon ko no Muslimon ke aamaal-e-khair ka ajar bhi miley ga .

 

RAVI HADEES :

HAZRAT ABUL ABBAS SAHAL BIN SAAD ANSARI (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ): Sahal bin Saad bin Maalik bin Khalid bin Saaliba Khazraji Saaidi aur Ansari hain. un ki kuniat Abul Abbas hai. un ka naam qabal az qubool Islam Hazan tha, lekin Islam qubool kiya to Nabi ﷺ ne un ka naam tabdeel kar ke Sahal rakh diya. Nabi ﷺ ki wafaat ke waqt un ki Umar 15 saal thi. taqreeban 100 saal Umar pa kar 91 hijri ko faut hue. kaha jata hai ke Madinah mein wafaat panay walon mein se yeh sab se aakhri Sahabi hain. un ki marviat ki tadaad kutub ahadees mein taqreeban 100 Hain .

 


176- وعن أنس – رضي الله عنه- أن فتى من أسلم قال: يا رسول الله! إني أريد الغزو وليس معي ما أتجهز به، قال: ” إئت فلاناً فإنه قد كان تجهز فمرض”، فأتاه، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرئك السلام ويقول: أعطني الذي تجهزت به، فقال: يا فلانةُ أعطيه الذي تجهزت به، ولا تحبسى منه شيئاً، فو الله! لا تحبسين منه شيئاً فيبارك لك فيه ” رواه مسلم.

 

(176) Hazrat Anas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) yeh bayan karte hain ke Aslam qabeeley ke aik nojawan ne kaha : aye Allah ke Rasool! main jehaad karna chahta hon lekin mere paas woh samaan nahi jis ke sath main jehaad ki tayari karoon. aap ( ﷺ ) ne farmaya : ” falan shakhs ke paas jao us ne jehaad ki tayari ki thi lekin woh bemaar ho gaya ( yani us se samaan jehaad le lo ). chunanchay woh ( nojawan ) us ke paas gaya aur ja kar kaha : Rasoolullah ﷺ tujhe salam kehte hain aur farmatay hain ke tum mujhe woh samaan day do jis ke sath tum ne jehaad ki tayari ki hai. us shakhs ne ( apni biwi se ) kaha : aye falani! is ko woh samaan day day jis ke sath mein ne jehaad ki tayari ki thi aur us mein se koi cheez mat rokna Allah ki qasam! to is mein se koi cheez rok kar nahi rakhay gi ke phir tumhare liye us mein barket ho ( yani samaan ka rokna hai barkti ka baais hoga ). ( Muslim )

 

TAKHREEJ:

Sahih Muslim, Al imaarati, Bab fazl ieaanati l ghazi fi Sabeelillah bi markoobi wagherihi wa khilfatihi fi ahlihi bi khair, Hadees: 1894

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Is se maloom huwa ke kisi neki ke kaam ke liye insaan ne tayari ki ho lekin bemari aur uzur ki wajah se us par amal karne se woh qassar rahay to wohi saaz o samaan agar woh kisi aur ko day day ga to woh bhi us ke sath amal kheir ya ajar jehaad mein barabar ka shareek rahay ga. 

2- Allah ke rastay mein kharch karne ke bajaye maal ko apne paas rokay rakhna be barkti aur Allah ki narazi ka baais hai. 

3- Jis maal ko Allah ke rastay mein kharch karne ki niyat huwa se apne paas rokna be barkti ka baais hai .

 

 

REFERENCE:
BOOK: Riyaz us Saliheen(Urdu)
Taleef: Imam Nawawi Rahimahullah.
Urdu Tarjumah aur Fawaid: Hafiz Salah Uddin Yusuf.

 

 

Chapter 20

Calling to right guidance and forbidding depravity

Allah, the Exalted, says:

“And invite (men) to (believe in) your Rubb [i.e., in the Oneness (Tauhid) of Allah – (1) Oneness of the Rububiyah of Allah; (2) Oneness of the worship of Allah; (3) Oneness of the Name and Qualities of Allah]. (28:87)

“Invite (mankind, O Muhammad (PBUH)) to the way of your Rubb (i.e., Islam) with wisdom (i.e., with the Divine Revelation and the Qur’an and fair preaching)”.(16:125)

“Help you one another in Al-Birr and At-Taqwa (virtue, righteousness and piety)”. (5:2)

“Let there arise out of you a group of people inviting to all that is good (Islam).” (3:104)

173. Abu Mas`ud `Uqbah bin `Amr Al-Ansari Al-Badri (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “Whoever guides someone to virtue will be rewarded equivalent to him who practices that good action”.


[Muslim].

Commentary: The statement quoted in this Hadith was made by the Prophet (PBUH) when, on a certain occasion, someone requested him to give an animal for riding. The Prophet (PBUH) replied that he did not have any. A man who was present there said that he could show him the man who could help him in the matter. This is how the Prophet (PBUH) revealed the reward of directing people to good deeds, which is mentioned in this Hadith.


174. Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said, “If anyone calls others to follow right guidance, his reward will be equivalent to those who follow him (in righteousness) without their reward being diminished in any respect, and if anyone invites others to follow error, the sin, will be equivalent to that of the people who follow him (in sinfulness) without their sins being diminished in any respect”.


[Muslim].

Commentary: `Invitation’ and `Call’ stand to mean here that someone induces others to virtue or seduces to sin by means of his speech or action. We come to know from this Hadith that one who becomes a medium for either of them is given a reward or punishment respectively by Allah (SWT).


175. Sahl bin Sa`d (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (PBUH) said on the day of the Khaibar Battle, “I will give this banner to a person at whose hands Allah will grant victory; a man who loves Allah and His Messenger (PBUH), and Allah and His Messenger love him also.” The people spent the night thinking as to whom it would be given. When it was morning, the people hastened to Messenger of Allah (PBUH). Every one of them was hoping that the banner would be given to him. He (the Prophet (PBUH)) asked, “Where is `Ali bin Abu Talib?” They said: “O Messenger of Allah! His eyes are sore.” He (PBUH) then sent for him and when he came, Messenger of Allah (PBUH) applied his saliva to his eyes and supplicated. `Ali (May Allah be pleased with him) recovered as if he had no ailment at all. He (PBUH) conferred upon him the banner. `Ali (May Allah be pleased with him) said: “O Messenger of Allah, shall I fight against them until they are like us?” Thereupon he (the Prophet (PBUH)) said, “Advance cautiously until you reach their open places; thereafter, invite them to Islam and inform them what is obligatory for them from the Rights of Allah, for, by Allah, if Allah guides even one person through you that is better for you than possessing a whole lot of red camels”.


[Al-Bukhari and Muslim].

Commentary: Besides mentioning the excellence of `Ali (May Allah be pleased with him) and the miracle of the Prophet (PBUH), this Hadith tells about the procedure of Jihad. According to procedure, first of all, polytheists and infidels should be invited to Islam, and if they reject the invitation, then Jihad be made against them. Jihad is such an action that if at its initial stage, that is to say at the stage of invitation, some people accept the guidance, then the people who will participate in Jihad will get the reward of good deeds done by those who would join the fold of Islam.


176. Anas bin Malik (May Allah be pleased with him) reported: A young man from the tribe of Aslam said, “O Messenger of Allah (PBUH), I wish to fight (in the Cause of Allah) but I do not have anything to equip myself with (for fighting)”. He (the Prophet (PBUH)) said, “Go to so-and-so, for he had equipped himself (for fighting) but he fell ill.” So he (the young man) went to him and said, “Messenger of Allah (PBUH) sends you his greetings and says that you should give me the equipment that you have provided yourself with.” The man said (to his wife or servant): “O so-and-so, give him the equipment I have collected for myself and do not withhold anything from him. By Allah, if you withhold anything from him, we will not be blessed therein”.

[Muslim].

Commentary:


1. We learn from this Hadith that if a person has made preparations for doing some good deed but he is unable to do it due to illness or some other genuine reason, and he gives the material to be used for that purpose to someone else then he will also be equally eligible to the reward of that good deed.

2. Rather than spending wealth in the way of Allah, those who withhold it, displease Allah, and their wealth becomes deprived of His Blessing.

REFERENCE:
BOOK: Riyadh ul Saaliheen
Table of Contents