03. Khaawand ki wiraasat
احوال اصحاب الفروض
(Ashaab-ul-Furooz kay hisson ka bayaan)
Khaawand ki wiraasat
Meeraas mein khaawand ki do haaltain hain .
*Pehli haalat*
khawand ko faut shuda biwi key tarka ka ( 1 / 2 ) nissaf hissa milta hai. agar biwi ki koi aulaad nah ho, yani beta, beti, pota ya poti mein se koi bhi nah ho .
*Misaal*
Aik aurat faut ho gayi. us ne apna khaawand aur bhai ko zindah chodha
khaawand ko ( 1 / 2 ) miley ga kyunkay biwi ki koi aulaad nahi hai aur baqi tarka bhai bator -e- asbah le ga. is ka asal ( 2 ) hai. khaawand ko ( 1 ) aur baqi ( 1 ) bhai le ga
2
1 Khaawand 1/2
1 Bhaai Ain (ع)
*Doosri haalat*
khaawand ko biwi ki jaedaad ka choutha hissa ( 1 / 4 ) miley ga. agar biwi ki koi aulaad zindah ho ( beta, beti, pota, poti ) khuwa is khaawand se ho ya kisi Sabiqa khaawand se ho. ya waladuz-zinna ( harami) ho. kyunkay usay maa ki taraf mansoob kiya ja taa hai .
*Misaal*
aik aurat faut ho gayi is ne apna khaawand aur beta zindah chodha.
khawand ko ( 1 / 4 ) miley ga kyunkay beta mojood hai. aur baqi
beta bator -e- asbah le ga. asal masla ( 4 ) hai. khawand ko ( 1 ) aur baqi ( 3 ) beta bator -e- asbah le ga .
4
1 Khaawand 1/4
3 Beta Ain (ع)
*Khaawand ki dono halaton ki Daleel :*
Quran kareem surah al-nisaa mein hai
ولكم نصف ما ترک أزواجكم إن لم یكن لهن ولد فإن کان لهن ولد فلكم الربع مما تركن )
( Surat al-Nisaa : 12 / 4 )
REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.
احوال اصحاب الفروض
(Ashaab-ul-Furooz kay hisson ka bayaan)
1: Khaawand ki wiraasat
Meeraas mein Khaawand ki do halatein hain.
Pehli haalat: Khawand ko faut shuda Biwi kay tarka ka (1/ 2) Nisaaf hissa milta hai. Agar Biwi ki koi aulaad nah ho, Yani Beta, Beti, Pota ya Poti mein say koi bhi nah ho.
Misaal: Aik aurat faut ho gai. Us nay apna Khaawand aur Bhai ko zindah chodha
Hall: Khaawand ko (1/2) milay ga kiunkeh Biwi ki koi aulaad nahi hai aur baqi tarka Bhai Bator-e-Asabah lay ga. Is ka asal (2) hai. Khaawand ko (1) aur baqi (1) Bhai lay ga.
|
|
2 |
1/2 |
Khaawand |
1 |
ع |
Bhai |
1 |
Doosri haalat: Khaawand ko Biwi ki jaedaad ka choutha hissa (1/4) milay ga. Agar Biwi ki koi aulaad zindah ho (Beta, Beti, Pota, Poti) khuwa is Khaawand say ho ya kisi Sabiqa Khaawand say ho. Ya Walad-ul-Zina (Harami) ho. Kiunkeh usay Maan ki taraf mansoob kiya ja taa hai.
Misaal: Aik aurat faut ho gai us nay apna Khaawand aur Beta zindah chodha.
Hall: Khawand ko (1/4) milay ga kiunkeh Beta mujood hai. Aur baqi Beta Bator-e-Asabah lay ga. Asal masla (4) hai. Khawand ko (1) aur baqi (3) Beta Bator-e-Asabah lay ga.
|
|
4 |
1/4 |
Khaawand |
1 |
ع |
Bhai |
3 |
Khaawand ki donon halaton ki Daleel: Quran kareem Surah Al-Nisaa mein hai:
ولكم نصف ما ترک أزواجكم إن لم یكن لهن ولد فإن کان لهن ولد فلكم الربع مما تركن
(Sorat Al-Nisaa: 4/12)
REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.