05. Beti ki wiraasat
3: Beti ki wiraasat
✦ Meeraas mein Beti ki teen haalatain hain.
Pehli haalat: Beti ko Mayyat ka Nisaaf tarka (1/2) milay ga. Agar woh akeeli ho aur is kay hamrah Mayyat ka koi Beta mujood nah ho.
Misaal 1: Aik aadmi faut ho gaya us nay apni Biwi, Beti aur Chacha ko zindah chodha.
Hal: Biwi ko (1/8) milay ga kiunkeh Mayyat ki Beti mujood hai. Beti ko (1/2) milay ga kiunkeh woh akeeli hai. Aur is kay hamrah Mayyat ka Beta mujood nahi hai, Chacha Asabah hai. Asal masla (8) hai. Biwi ko (1) Beti ko (4) aur baqi (3) Chacha lay ga.
|
|
8 |
1/8 |
Biwi |
1 |
½ |
Beti |
4 |
ع |
Chacha Ain |
3 |
Misaal 2: Aik aurat faut hogi us nay apna Khaawand, Beti aur Bhai ko zindah chodha.
Hal: Khaawand ko (1/4) milay ga kiunkeh Beti mujood hai. Beti ko (1/2) milay ga kiunkeh woh akeeli hai aur Bhai Bator-e-Asabah waaris hai. Asal masla (4) hai. Khawand ko (1) Beti ko (2) aur baqi (1) Bhai Bator-e-Asabah lay ga.
|
|
4 |
1/4 |
Khaawand |
1 |
1/2 |
Beti |
2 |
ع |
Bhai Ain |
1 |
Doosri haalat: Beti ko do tihai (2/3) milay ga agar woh aik say zayada hon aur Mayyat ka Beta bhi mujood nah ho, Us ka hissa in kay darmiyaan baraabar baraabar taqseem kiya jaye ga.
Misaal:Aik aurat faut ho gai aur apna Khaawand, Do Betiyan aur Chacha zinda chodha.
Hal: Khaawand ko (1/4) milay ga. Do Betiyon ko (2/3) kiunkeh woh aik say zayada hain aur Beta mujood nahi hai. Aur Chacha Bator-e-Asabah waaris hai. Asal masla (12) hai Khaawand ko (3) do Betiyon ko (8) har aik ko (4) aur baqi (1) Chacha Bator-e-Asabah lay ga.
|
|
12 |
1/4 |
Khaawand |
3 |
2/3 |
(2) Betiyan |
8 |
ع |
Chacha Ain |
1 |
Teesri haalat: Beti Bator Bator-e-Asabah waaris hogi. Mayyat kay Betay ki mujoodgi mein aur jaedaad un kay darmiyan “لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِ” kay qaida kay mutaabiq taqseem hogi. Yani Betay ko do hissay milein gay aur Beti ko aik hissa.
Misaal: Aik aurat faut ho gai, Apna Khaawand, Beti aur Beta zindah chodha.
Hal: Khaawand ko (1/4) milay ga. Beti aur Beta donon Asabah hain. Asal masla (4) hai. Khawand ko (1) aur baqi (3) Beti aur Betay kay darmiyaan taqseem kiye jayen gay chunancha Beti ko (1) mila, Aur Betay ko (2) milay.
|
|
4 |
1/4 |
Khaawand |
1 |
ع |
Beti Ain |
1 |
ع |
Beta Ain |
2 |
Beti ki teenu halaton ki Daleel:
Qoulihi ta’ala:
“يُوصِيكُمُ ٱللَّهُ فِىٓ أَوۡلَـٰدِڪُمۡۖ لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۚ فَإِن كُنَّ نِسَآءً۬ فَوۡقَ ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُنَّ ثُلُثَا مَا تَرَكَۖ وَإِن كَانَتۡ وَٲحِدَةً۬ فَلَهَا ٱلنِّصۡفُ”
(Sorat-ul-Nisaa: 4/12)
REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.