Search
Sections
< All Topics
Print

11. Jaedaad ki taqseem.

Jaedaad ki taqseem

تقسیم الترکۃ  

 

Ilm-e-Meeraas ko seekhnay ki Gharz-o-Ghaayat Mayyat ki jaedaad ki taqseem hi hai. Baqi taaseel yani asal masla aur tasheeh waghera ka ilm to is kay husool ka aik zari’ya hai, Jaedaad ki taqseem darj zail qawaa’id kay tahat amal Pazeer hoti hai.

1: Agar kisi Mayyat ka aik hi waaris ho to woh akeela hi saari jaedaad samait lay ga chahay woh Sahib-e-Farz, Asabah ya Zaw-ul-Arhaam mein say koi bhi ho.

2: Agar Mayyat kay wurasa Ashaab-ul-Furooz ya Asabah hon to pehlay un ka asal muloom karein aur har waaris ko us ka hissa den.

3: Jaedaad mein say jis waaris ka hissa muloom karna ho. To us waaris ko asal masla say jo hissa mila hai usay tarka say zarb den. Aur Haasil-e-Zarb ko asal auwl ya radd ki jami’a say taqseem karein. To Haasil-e-Taqseem us waaris ka hissa hoga.

 

✯ Qaida :  Tarka×waaris ka hissa÷Asal, Auwl ya radd ki jami’a

 

Misaal 1: Aik aurat apnay Khaawand, Maan aur Betay ko chode kar faut hogai aur us ka tarka 2400 rupay hai.

Hal: Asal masla (12) hai. Khaawand 1/4 (3) milay. Maan ko 1/6 (2) milay. Betay ko baqi Bator-e-Asabah (7) milay.

 

 

12

1/4

Khaawand

3

1/6

Maan

2

ع

Beta

7

 

Khaawand ka hissa 2400×3÷12=600 rupay hai.

Maan ka hissa: 2400×2÷12 =400 rupay hai.

Khaawand ka hissa: 2400×7÷12 =1400 rupay hai.

 

Misaal 2: Auwl ki misaal

Aik aurat apnay Khaawand, ‘Aini Behan, ‘Allati Behan aur Akhiyaafi Bhai ko zindah chode kar faut hogai. Us ki jaedaad 4000 rupay hai.

Hal: Is ka asal (6) hai Khawand ko 1/2 (3) milay ‘Aini Behan ko 1/2 (3) milay, ‘Allati Behan 1/6, (1) mila aur Akhiyaafi Bhai ko 1/6 (1) mila. In kay hisson ka majmo’ah (8) hai chunancha yeh masla ‘Aaila hai is ka naya asal (8) hai.

 

 

8/6

1/2

Khaawand

3

1/2

”Aini Behan

3

1/6

‘allati Behan

1

1/6

Akhiyaafi  Bhai

1

 

Khawand ka hissa: 4000×3÷8 = 1500 rupay hai.

‘Aini Behan ka hissa: 4000×3÷8 = 1500 rupay hai.

‘Allati Behan ka hissa: 4000×1÷8 = 500 rupay hai.

Akhiyaafi Bhai ka hissa: 4000×1÷8 = 500 rupay hai.

 

Misaal 3: Radd ki misaal

Aik aadmi apni Biwi, Maan, Beti aur Poti ko zindah chode kar faut ho gaya. Us ka tarka 800 rupay hai.

Hal: Yeh radd masla hai is ki jami’a (40) hai. Is mein say Biwi ko (5) milay. Maan ko (7) milay. Beti ko (21) milay aur Poti ko (7) milay.

 

 

5×8

5/6

40

1/8

Biwi

5×1

=

5

Baaqi

 

7

=

=

1/6

Maan

=

7×1

7

1/2

Beti

=

7×3

21

1/6

Poti

=

7×1

7

 

Biwi ka hissa: 800×5÷40 = 100 rupay hai.

Maan ka hissa: 800×7÷40 = 140 rupay hai.

Beti ka hissa: 800×21÷40 = 420 rupay hai.

Poti ka hissa: 800×7÷40 = 140 rupay hai.

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

 

Table of Contents