12. Qarza ki Adaigi
Qarza ki Adaigi
قضاء الدین
Agar koi Mayyat maqrooz ho. Tajheez-o-Takfeen kay akhraajaat kay baad tarka kam honay ki soorat mein qarzz khuwaahon ko un ka qarzz poora poora ada nah ho sakay to us kay tarka mein say har qarzz khuwaah ka hissa muloom karnay ka tareeqa darj zail hai.
Har qarzz khuwaah kay qarza ki raqam ko us kay Sihaam ki jagah ist’imaal karein gay. Aur qarza ki majmo’i raqam ko Bator-e-Asal masla ist’imaal karein gay. Aur baqi amal tarka ki taqseem wala hoga. Yani Mayyat kay tarka ko qarzz khuwaah kay qarza ki raqam say zarb den gay aur Haasil-e-Zarb ko qarza ki kul raqam say taqseem karein gay.
Qaida: Tarka×Qarzz khuwaah ka qarza÷qarza ki kul raqam
Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Us kay zimma 1000 rupay qarza hai jo is nay mukhtalif teen ashkhaas say liya tha. Mayyat nay Zaid ko 500 rupay yaasir kay 300 rupay Bakar ko 200 rupay ada karnay tahy us ka tarka sirf 600 rupay hai.
Qarza ki kul raqam: 500+300+200=1000 rupay
Qaida: Tarka×Qarzz khuwaah ka qarza÷qarza ki kul raqam
Tarka mein say Zaid ka hissa: 500×600÷1000=300 rupay hai.
Tarka mein say Yaasir ka hissa: 600×300÷1000=180 rupay hai.
Tarka my say Bakar ka hissa: 600×200÷1000=120 rupay hai.
Chunacah zaid ko 300 rupay milein gay. Yaasir ko 180 rupay aur Bakar ko 120 rupay milein gay.
REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi