Search
Sections
< All Topics
Print

19. Walad-ul-Li’aan aur Walad-ul-Zina ki meeras

Walad-ul-Li’aan aur Walad-ul-Zina ki meeras

 

❁ Walad-ul-Li’aan: Yeh woh bacha hai jisay Biwi nay apnay sharai Khaawand kay bistar par janam diya ho. Lekin Khaawand usay apni aulaad tasleem karnay say inkaar kar day aur Khaawand kay paas apni Biwi ko zaania saabit karnay kay liye koi gawaah bhi nah ho. Is soorat mein Khaawand aur Biwi qaazi ki mujoodgi mein liaan karein gay jis ka tareeqa aur kaifiyat surah Al-Noor aayat number 6,7,8,9 mein bayan kiya gaya hai.

 

❁ Walad-ul-Zina: Yeh woh bacha hai jisay us ki Maan nay baghair sharai Khaawand kay jana ho, Yani woh kisi mard say najaaiz talluqaat ka nateeja ho.

 

▶ In ki meeras ka hukum

 

Zina aur li’aan ki aulaad sirf apni Maan aur Maan kay rishtedaaron ki waaris hoti hai. Yani in ki Maan ki aulaad jo in kay Akhyaafi Bhai Behan hain. Aur in kay waaris bhi in ki Maan aur in kay Akhyaafi Bhai, Behan hi hotay hain. Woh apnay Baap aur us ki rishtedaaron kay waaris nahi hotay kiunkeh un ka Baap kay sath koi sharai qaraabat (nasab) nahi hai.

• Misaal 1: Aik aadmi apni Maan aur Walad-ul-Zina ya Walad-ul-Li’aan ko zindah chode kar faut ho gaya. Ab us ki jaedaad ki waaris sirf us ki Maan hi hogi. Aur ghair sharai aulaad us ki waaris nahi hon gay.

• Misaal 2: Walad-ul-Zina ya Walad-ul-Li’aan apni Maan aur apnay Akhyaafi Bhai ko zindah chodh kar faut ho gaya.

Hal: Maan ko (1) farzan aur Akhiyaafi Bhai ko (1) farzan milay ga aur baqi tarkah radda’an milay ga. Asal masla (3) hai Maan ko (2) aur Bhai ko (1) milay ga.

• Misaal 3: Walad-ul-Zina ya Walad-ul-Li’aan apni Maan, Nani aur mamu ko zindah chodh kar faut ho gaya.

Hal: Is mas’ala mein sirf Maan hi waaris ho gi Nani Maan ki wajah say mahroom hai aur mamu Zaw-e-Al-Arhaam mein say hai jo Ashaab-ul-Forooz ki mujoodgi mein waaris nahi hotay.

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

 

Table of Contents