Search
Sections
< All Topics
Print

31. Imam At Tahawi [Muskil/Maani ul Aasaar][239-321H]

 Imam Tahawi(رحمتہ اللہ)

 

Imam Abu Ja’far Tahawi teesri sadi ke azeem muhaddis aur bebadal Faqih they. Muhaddiseen aur Fuqaha ke tabqaat mein In ka yaksaan shumaar kiya jata tha. Salaf Saliheen mein aise jam’i hazrat ki misalein bohat kam milti hain jo hadees or Fiqh dono shobon mein Sanad ki haisiyat rakhte hon. Muhaddiseen in ko Hafiz or Imam kehte hain aur Fuqaha in ko Mujtahid muntasib qaraar dete hain.

Sheikh Abdul Qadir ne kaha ke woh Siqah, nabeel aur hadees ka maskan they.

Sam’aani ne kaha woh Imam, Aaqil aur Siqah shakhsiyat ke malik they. Aur un ki wafat ke baad duniya aaj tak un ki nazeer nahin paish kar saki.

Imam Suyuti ne kaha woh hadees aur Fiqh mein Imam, Uloom Deeniyah ke maawa aur Ahadees-e-nabwiyah ke maljaa they aur Hafiz Abu Shirazi kaha karte they keh Imam Abbu J’aafer Tahawi, As-haab Abu Hanifah ki Ilmi riyasat ke muntaha hain[1].

Hafiz Ibn Abdul Barr ne kaha keh woh koofiyon ki riwayaat aur Masail-e-Faqihah ki sab se zyada ma’arfat rakhte they aur tamam Mazaahab-e-Fuqaha ke ‘Alim thay [2].  Aur Asqalani ne kaha ke Mazhab-e-Hanifa to alag raha Abu Ja’far Tahawi ki nazeer kisi mazhab mein nahin milti[3].

Wiladat Aur Naam-o-Nasab:

Aap ka poora naam ma’a kuniyat, ilqaab-o-nasab is tarah hai:

Al Imamul Hafiz Abu J’afer Ahmed bin Muhammad bin Salamah bin Abdul Malik bin Salimah bin Saleem bin Khabab Al-Azdi Al-Misri Al-Tahawi Al-Hanafi hai. Azdi mein qabeela-e-Azd ki taraf nisbat hai jo Azd bin ‘Imran ki taraf mansoob hai. Hijri qabeelah Hijr ki taraf nisbat hai. Hijr naam ke teen qabayel they. Hijr bin Waheed, Hijr zi A’aeen aur Hijr Azd. Imam Tahawi ki jis qabeelay ki taraf nisbat hai woh yahi hai. Misr mein Wadi-e-Neel ke kinare Taha naam ki aik basti hai. Us mein paida hone ki wajah se Aap ko Tahawi kaha jata hai. Hafiz Ibn-e-Hajar Asqalani mutawaffaa 852 Hijri Muhaddis Muhiuddin Abu Muhammad Abdul Qadir Sahab mutawaffaa 696 Hijri Aljawahir Almuziyyah[4], Shah Abdul Aziz muhaddis mutawaffaa 1229 Hijri dehlvi[5] ne aur Moulvi Abdul hayi’ Lakhnavi mutawaffaa 1304 Hijri [6] ne Imam Tahawi se naqal kiya hai ke unhone apna saal-e-wiladat 239 Hijri bayan farmaya hai aur Imam Abu Abdullah Shamsuddin Zahbi mutawaffaa 748 Hijri [7] ne unse 237 hijri naqal farmaya hai.

Asaatzah:

Imam Tahawi ne Ibtidayi taleem ke baad apne maamu Abu Ibrahim Muzni se Fiqh-e-Shafa’i padhni shuru ki lekin aap ki tabiayat-e-salimah mein Jo quwwat-e-istadlaal aur nazar mein bareek beeni thi us ne bohat jald Aap ka rukh Shafi’at se Hanfiat ki taraf mod diya. Chunanche 268 Hijri mein Aap ne Misr jakar us waqt ke Shohrah-e-aafaaq Ustaad Abu Ja’far Ahmad bin abi Imran Moosa bin Isaa se Fiqh-e-Hanafi ki tehseel shuru kardi. Ahmad bin abi Imran Fiqh-e-Hanafi mein zabardast dastaras rakhte they aur do waaston se un ka silsila Hazrat Imam-e-Azam رضي الله عنہ se jaa kar mil jata tha is tarah Imam Tahawi ki jo Sanad Imam-e-Azam se muttasil hai us ki tafseel yeh hai. Ahmad bin Abi Imran An Muhammad bin sama’ah An Abi Yousuf An Abi Hanifah.

Misr ke baad Imam Tahawi Shaam chale gaye aur wahan sham ke Qazi al Quzaat Abu Haazim se Fiqh ki tehseel ki. Un ke Ilawa Misar ke baqi mashayekh se Ilm-e-hadees mein Istifaadah kiya aur jis qadar mashayekh-e-hadees in ki zindagi mein Misr aaye un sab se Imam Tahawi ne Ilm-e-hadees mein istifadah kiya jin mein Sulaiman bin Sho’aib Keesani, Abu Musa Younus bin Abdul ‘Ala al-Sadfi wagherah ke naam liye jate hain.[8] Hafiz Ibn-e-Hajar Asqalaani ne Ilm-e-hadees mein Imam Tahawi ke jin mashayekh ka zikr kiya hai woh yeh hain:- Younus bin Abdul ‘Alaa, Haroon bin Saeed Eeli, Muhammad bin Abdullah bin Hakam, Bahar bin Nasr, Issa bin Mashrood, Ibrahim bin abi Dawood Albarlusi, Abu Bakar, Bukhar bin Qutaibah,[9] aur Imam Zahabi ne in asatizah ke ‘ilawah ‘Abdul Ghani Al-Rafa’ah ka bhi zikr kiya hai.[10]

Talamazah:

Imam Tahawi ki Ilmi shohrat door daraz Ilaaqon mein bhi phail chuki thi is liye Aap se istifadah karne ke liye door daraz se tashnagaan-e-Ilm aate they. Jin be-shumaar logon ne Aap se Ilm-e-hadees mein sam’aa hasil kiya un mein se chand hazraat ke asmaa yeh hain: Abu Muhammad Abdul Aziz bin Muhammad Al-Haitmi Al-Jauhri, Hafiz Ahmad bin Al-Qasim bin Abdullah Al baghdaadi Al-M’aroof Babin Al-Khishaab, Abu Bakar ‘Ali bin S’adwiyah Al-Buru’i, Abu Al-Qasim Musallimah ibn Al-Qasim bin Ibrahim Al-Qutabi Abu Al-Qasim Abdullah bin ‘Ali Al-Dawovi, Hasan bin Al-Qasim bin Abdul Rahman Al-Misri, Qazi Ibn-e-Abi Al-Awaam, Abu Al-Hasan Muhammad bin Ahmad Akhmini, Hafiz Abu Bakar Muhammad bin Ibrahim bin ‘Ali Al-Maqri, Abu Al-Hasan ‘Ali bin Ahmad Al-Tahawi, Abu Al-Qasim Suleimaan bin Ahmad bin Ayyub Al-Tabarani Al-M’ujam, Hafiz Abu Saeed Abdul Rahman bin Ahmed bin Younus Misri, Hafiz Abu Bakar Muhamma bin J’afer bin Al-Hussain Al-Baghdadi Meemon bin Al-Hamzah Al-Baeedli wagherah[11].

Tabdeeli Maslak:

Imam Abu Ja’far Tahawi Ibtida mein Shafa’i mazhab thay. Baad mein Shafa’iyat ko chhod ke Hanafi maslak ikhteyaar karliya. ‘Aam shawaaf’e musannifeen ne is ka sabab bayan karne mein haqeeqat pasandi se kaam nahi liya. Maslan Imam Zahabi likhte hain: Imam Tahawi pehle Shafa’i al-mazhab thay. Aik din dauraan-e-taleem un ke maamu Muzani un par naraz huye aur kaha tum se kuch na ho sakega. Imam Tahawi is baat par naraz huye aur jaa kar Abu Imran Hanafi se padhna shuru kar diya.[12] Lekin Ustaad ka shagird par mehaz naraz hona koi itni aham aur shadeed baat nahi hai. Jis ki wajah se maslak badalna pada. Asal baat kya thi us ka Allama Abdul Aziz Harwi zikr farmatey hain:

Imam Tahawi Ibtida mein Shafa’i mazhab they. Aik din unhone Kutub-e-shafiah mein padha ke jab hamila aurat mar jaye aur us ke pait mein bachha zinda ho tou us ke pait ko cheera nahin jayega. Barkhilaaf mazhab Abu Hanifah. Aur Imam Tahawi ko Mazhab-e-Hanafi par pait cheer kar nikala gaya tha. Imam Tahawi ne is ko padh kar kaha mein us shakhs ke mazhab se raazi nahi, jo meri halakat per raazi ho, phir unhone Shafi’at ko chhod diya aur Hanafi maslak ko ikhtiyaar kiya aur us maslak ke azeem mujtahid ban gaye[13].

Maulana Faqeer Muhammad Jehlumi ne is waqiye ko zara aur tafseel se bayan kiya hai likhte hain:

Fataawa berhana mein Aap ke intiqaal-e-mazhab ka yeh sabab likha hai keh Aap aik din apne maamu se padh rahe they ke Aap ke sabaq mein yeh masalah aya ke agar koi hamilah aurat mar jaye aur us ke pait mein zinda bachha ho tou berkhilaalf-e-mazhab Imam Abu Hanifah ke Imam Shaf’ai ke nazdeek ‘aurat ka pait cheer ker bachha nikalna jayez nahin, Aap is masalay ke padhte hi uth khade huye aur kehne lage ke main us shakhs ki hargiz pairvi nahin karta jo mujh jaise aadmi ki halakat ki perwah na kare, kyun ke Aap apni walidah ke pait mein hi they ke Aap ki walidah fout hogain thin aur Aap pait cheer kar nikale gaye they. Yeh haal dekh kar Aap ke maamu ne Aap se kaha keh Khuda ki qasam tu hargiz Faqeeh nahin hoga. Pas jab Aap Khuda ke fazal se Fiqh-o-hadees mein Imam Be-‘Adeel aur Faazil be-masal huye tou aksar kaha karte they keh mere maamu per Khuda ki rahmat nazil ho agar woh zindah hote tou apne mazhab Shafa’i ke bamaujab zarur apni qasam ka kaffarah ada karte.”[14]

Hadees Aur Fiqh Mein Maharat:

270 hijri ke baad Imam Tahawi ne Misr ke Qazi Abu Abdullah Muhammad bin Abdah ki niyabat ka ohdah qubool kiya. Imam Tahawi farmate hain ke aik martaba main Qazi ki majlis mein baitha hua tha, aik shakhs aya aur kehne laga, Abu ‘Obaidah bin Abdullah ne apni maa se aur unhone apne baap se kaunsi hadees riwayat ki hai jab shurka-e-majlis mein se kisi ko jawab na aya tou meine apni sanad ke sath woh hadees bayan ki:-

Jab Aap us ki matloob hadees ko do sanadoon ke sath marfu’an aur mauqoofan bayan kar chuke tou woh shakhs be saakhta kehne laga shaam ko meine aap ko Fuqaha ke maidan mein dekha tha aur ab aap hadees ke maidaan mein hain. Bohot kam log honge jo in dono fanoon mein aap ki jaamiyat rakhte hon. Aap ne yeh sun kar farmaya yeh mehez Allah ka fazal aur us ka inaam hai.[15]

Imam Bayhaqi Ka Inkaar:

Shafi’yah ka maslak hai keh mas-e-zakar(مس ذكر) se wazu toot jata hai. Imam Tahawi ne Sharh M’aani Al-Aasaar mein is hadees ki tamam asaneed per jirah ki hai aur sabit kar diya hai ke is hadees ki tamam asaneed kamzoor aur majrooh hain jis ki wajah se yeh hadees laiq-e-istedlaal aur qabil-e-ihtijaaj nahi hai. Imam bayhaqi marhoom 458 Hijri ne kitab Al-M’arifah mein is behes ka zikr kiya hai un se Imam Tahawi ke dalayel ka jawab toh na ban saka, faqat itna keh diya keh, ‘Ilm-e-hadees Imam Tahawi ka fann nahin tha. Lakin ahl-e-Ilm ke nazdeek Imam Bayhaqi ke is be-daleel qaul ka koi wazan nahin hai.

Fan-e-hadees mein Imam Tahawi ke satoot ke bare mein hum sutoor saabqah mein Hafiz Ibn-e-Abdul Bar Andulusi Maliki marhoom 463 Hijri ki shahadat paish kar chuke hain jo Misr or maghrib ke Ulama per Imam Bayhaqi se zyada nazar rakhte hain. In ke Ilawa Abu Saeeb bin Younus muarrakh Misr or deegar a’yimma kibaar aur Ulama-e-rijaal ne fan-e-hadees mein Imam Tahawi ke fazal-o-kamaal ka aitraaf kiya hai. Dar Haqeeqat Imam Bayhaqi ka ye qaul Ahnaaf ke khilaaf tassub ke siwa kuch nahi aur isi tassub ke sabab se Imam Bayhaqi Sunan Kubra mein ahnaaf ki muayyad riwayaat ki tazeef aur shawaf’e ki muayyad riwayaat ki ta-saheeh aur rijaal ki takhreej aur tauseeq mein shadeed laghzishen khayin hain aur jagah jagah ghaltiyan ki hain. Chunanche Sheikh ‘Alauddin Ali bin Usman al maroof babin Al-Turkmani merhoom 750 Hijri ne Al-Jawahir Al-hanafi fil Radkhali Al-Bayhaqi mein in tamam laghzishon aur ghaltiyon ko muta’aiyyan kardiya hai. Haji Khalifah ne Kashf Al-Zunun mein Itqaani se naqal karte huye likha, Imam Tahawi ki jalalat-e-ilm aur un ke ijtihaad, war’a taqwa aur maarfat-e-mazahib mein un ke taqaddum ke paish-e-nazar in logon ke Inkaar ka koi asar nahin padta kyun keh munkireen Imam Tahawi se kaafi mutakhir hain. Agar kisi shakhs ko Imam Tahawi ki mahaarat-e-hadees mein shak ho to woh sirf Maani Al-Aasaar hi ka muta’ala kare jo un ki pehli tasneef hai. Hamara maslak to alag raha kya koi shakhs kisi mazhab se bhi is kitab ki nazeer la sakta hai.

‘Aizaz-o-Ikraam:

Imam Tahawi ke ‘ilm-o-fazal aur war’a-o-taqwa ke sabab tamam log un ka ehtaraam kiya karte they. Akabir saltanat aur a’azim-e-millat sab ke dilon mein un ki azmat aur aqeedat jaanguzeen(جاگزین) thi aur awaam-o-khawaas sab unka a’izaaz aur ikraam malhooz rakhte they.

Ibn-e-Zoulaaq bayan karte hain ke jab Abdul Rahman bin Ishaaq M’amar Jauhri Misr ke Ohda-e-qaza per mutamakkin huye tou woh Imam Tahawi ke adaab-o-ehteraam ka poora poora khayal rakhte they aur sawari par hamesha un ke baad sawaar hote they aur un ke baad utarte they. Jab un se is ka sabab pocha gaya to kehne lage, Imam Tahawi mujhse gyarah saal bade hain aur agar woh mujh se gyarah ghante bhi bade hote toh mujh par phir bhi un ka ehteraam lazim tha kyun keh Ohda-e-qaza koi aisi badi cheez nahi hai jis ki wajah se mein Imam Tahawi jaisi shakhsiyat per fakhar ker sakun.

Isi tarah jab Abu Abdullah Muhammad bin zabar ne Ohda-e-qaza sambhala aur Imam Tahawi un se milne aaye tou unhone aap ka bohat a’izaaz aur ikraam kiya aur un se aik hadees imla’ karwayi jis ko unhone tees saal pehle aik shakhs ke waaste se Imam Tahawi se riwayat kiya tha.

Seerat Aur Azmat Kirdaar:

Imam Tahawi haq go, nidar aur bebaak shakhsiyat ke malik they. Baghair kisi laag lipat ke aur natayej ki parwah kiye baghair kalimah-e-haq kehte aur us par qayem rehte. Wo Qazi Abu ‘Ubaid ke nayeb they lekin us ko humesha sahi rawish ki talqeen karte rehte they. Aik dafa aap ne Qazi se farmaya ke woh apne karindon ka muhasibah kiya kareim. Qazi ne jawab diya keh Isma’il bin Ishaq apne karindon ka hisaab nahin lete they. Imam Tahawi ne farmaya Qazi Bakaar apne karindon ka hisaab nahi lete they.  Qazi ne phir Isma’il ki misaal di. Imam Tahawi ne farmaya ke Huzoor(ﷺ) apne karindon ka muhasibah kiya karte they aur is silsilah mein Ibn Al-Tabiyah ka qissa sunaya.[16]

Jab karindon ko is waqiyah ka Ilm hua tou woh ghazabnaak hogaye aur unhone Qazi ko Imam Tahawi ke khilaaf bhadkana shuru kar diya yahan tak keh Qazi Imam Tahawi ka mukhalif ho gaya. Is asna mein Qazi mazool kar diya gaya. Jab Imam Tahawi ne uski mazooli ka parwana padha tou kuch log kehne lage aap ko mubarak ho. Imam Tahawi yeh sun ker sakht naraaz huye aur kehne lage, Qazi baharhaal Sahab-e-Ilm aadmi tha main kis ke sath Ilmi guftagu kiya karunga.[18]  

Tasaneef:

Imam Tahawi kaseer ut t’adaad kutub ke musannif they. Muarrikheen aur tazkirah nigaar har daur mein aap ko saraahte rahe. Tafsir, Hadees, Fiqh, Usool-e-fiqh, Kalaam, Tareef, Rijaal aur Manaqib taqreeban tamam mauzuaat par Aap ki Tasaneef maujood hain jin ki tafseel yeh hai:

 (1) Ahkam Al-Qur’an (2) Sharh M’ani Al-Aasaar (3) Mushkil Al-Aasaar (4) Ikhtilaaf Al-‘Ulamah (5) Kitab Al-Shuroot (6) Al-Shuroot Al-Sagheer (7) Al-Shuroot Al-Ausat (8) Mukhtasir Al-Tahawi fil Fiqh (9) Al-Nawadir Al-Faqihah (10) Kitab Al-Nawadir-o-Al-Hikeaat (11) Hukum Arz-e-Makkah (12) Hukum Al-Faii wal Ghinaim (13) Naqs Kitab Al-Mudalliseen (14) Kitab Al-Ashrabah (15) Al-Rad ‘Ali ‘Eesa bin Abaan (16) Al-Rad Ali Abi ‘Ubaid (17) Ikhtilaaf Al-Riwayaat (18) Al-Raziah (19) Sharh Al-Jam’e Al-Kabir (20) Sharh Al-Jam’e Al-Saghir (21) Kitab Al-Mahazir wal-Sajlaat (22) Kitab Al-Wasaiya wal-Farai’z (23) Kitab Al-Tarikh wal-Kabir (24) Akhbaar Abu Halifah (25) ‘Aqeedah Al-Tahawi (26) Taswiyah bain Akhbarana wa-Haddasana (27) Sunan Al-Shafa’i (28) Sahih Al-Aasaar[19]

Waffat:

Bayaasi saal ki azeem aur pur shikwa zindagi guzarne ke baad Imam Tahawi yakam Zeeqaad 221 Hijri mein Waffat paa gaye. 

Reference:

[1] Wasi Ahmed Muhaddis Soorti
Terjumah Tahawih a’laa sharh ma’ani al-Asaar jild 1 safha 11
 
[2] Hafiz Ibn-e-Hajar Asqalani mutawaffi 852 hijri
Lisaan al-Meezan jild 1 safha 276
 
[3] Muhammad AbdurRahman Mubarakpuri
Muqqadimah al-tuhfatul Ahwazi safha 92; Lisaan al-Meezan safha 274
 
[4] Aljawahir Almuziyyah, Jild 2 safha 103                  
[5] Bustaan-ul-Muhaddiseen, Safha 288
[6] Al-Fawaid Al-Bahaiyah Safha, 32                             
[7] Tazkirah-tul-Huffaaz, Jild 3 Safha 809
[8] Wasi Ahmed Muhaddis Surti, Tarjumah Imam Tahawi ‘Ala Sharah M’aani al-Aasaar jild 1 safha 12
[09] Hafiz ibn-e-Hajar Asqalaani Mutawaffa 852 hijri, Lisaan Al-Meezan, jild 1 safha 274 ta 275
[10] Imam Abbu Abdullah Shamsuddin Zahbi Mutawaffaa 748 hijri, Tazkirah-tul-Huffaaz, Jild 3 Safha 809
[11] Muhiuddin Abu Muhammad Abdul Qadir muhaddis mutawaffaa775 hijri, Aljawahir Almuziyyah jild 1 safha 104
[12] Imam Abu Abdullah Shamsuddin Zahbi Mutawaffi 748 hijri, Tazkirah-tul-Huffaaz jild 3 safha 809
[13] Allamah Abdul Azizi Perharwi, Nibraas safha 110
[14] Haqaiq-e-Hanafiyah, safha 165
[15] Imam Abu Abdullah Shamsuddin Zahbi mutawaffaa 748 hijri, Tazkirah-tul-Huffaaz jild 3 safha 809
[16] Hafiz ibn-e-Hajar Asqalaani Mutawaffa 852 hijri, Lisaan Al-Meezan, jild 1 Safha 281
[17] Abu Hameed Saeedi se riwayat hai keh Huzoor (ﷺ) ne Ibn Al-Tabiyah naami aik shakhs ko sadaqeh ka Aamil banaya tha jab woh maal leker aya tou kehne laga keh yeh tumhara maal hai aur yeh mujhe hadiyah mila hai. Huzoor(ﷺ)  naraaz huye aur farmaya yeh shakhs apne ghar kyun na baitha phir dekhte is ko hadiyah milta hai ya nahi. Al-Hadees Mishkat safha 156
[18] Hafiz ibn-e-Hajar Asqalaani Mutawaffa 852 hijri, Lisaan Al-Meezan, jild 1 safha 280 ta 281
[19] Al-Fawaid Al-Bahaiyah safha 32, Al-Hada’iq Al-Hanafiyah safha 165, Al-Jawahir Almuziyyah jild 1 safha 105
 
 
REFERENCE:
Book: “Tahawi Shareef”
Tarjamah: Allamah Mohammad Siddiq Hazaarvi.

امام ابو جعفر طحاوی

امام ابو جعفر طحاوی تیسری صدی کے عظیم محدث اور بےبدل فقیہہ تھے محدثین اور فقہاء کے طبقات میں ان کا یکساں شمار کیا جاتا ہے ۔سلف صالحین میں ایسے جامع حضرات کی مثالیں بہت کم ملتی ہیں جو حدیث اور فقہ دونوں شعبوں میں سند کی حیثیت رکھتے ہوں۔ محدثین ان کو حافظ اور امام کہتے ہیں۔ اور فقہاء ان کو مجتھد منتسب قرار دیتے ہیں ۔

اور شیخ عبد القادر نے کہا کہ وہ ثقہ،نبیل اور حدیث کا مسکن تھے ۔سمسانی نے کہا وہ امام ۔عاقل اور ثقہ شخصیت کے مالک تھے ۔ان کی وفات کے بعد دنیا آج تک ان کی نظیر پیش نہیں کر سکی۔اور امام سیوطی نے کہا کہ وہ حدیث اور فقہ میں امام علوم دینیہ کے مادی اور احادیث نبویہ کے ملجاء تھے اور حافظ شیرازی کہا کرتے تھے کہ امام ابو جعفر طحاوی ،اصحاب ابو حنیفہ کی علمی ریاست کے منتہاء ہیں

حافظ ابن عبد البر نے کہا کہ وہ کوفیوں کی روایات اور مسائل فقیہہ کی سب سے زیادہ معرفت رکھتے تھے اور تمام مذاہب فقہاء کے عالم تھے اتقانی نے کہا کہ مذہب حنفیہ تو الگ رہا ابو جعفر طحاوی کی نظیر کسی مذہب میں نہیں ملتی.

ولادت اور نام و نسب:

آپ کا پورا نام مع کنیت و القاب اس طرح ہے:

الامام الحافظ ابو جعفر احمد بن محمد بن سلامہ بن عبد المفک بن سلمة بن سلیم بن خباب الازدی المصری الطحاوی الحنفی ہے ۔۔

ازدی میں قبیلہ ازد کی طرف نسبت ہے جو ازد بن عمران کی طرف منسوب ہے حجری قبیلہ حجر کی طرف نسبت ہے ۔حجر نام کے تین قبائل تھے ۔حجر بن وحید، حجر ذی الخین اور حجرازد ۔

امام طحاوی کی جس قبیلہ کی طرف نسبت ہے وہ یہی ہے ۔مصر میں وادئ نیل کے کنارے سے ملحا نام کی ایک بستی ہے ۔اس میں پیدا ہونے کی وجہ سے آپ کو ملحاوی کہتے ہیں ۔حافظ ابن حجر عسقلانی متوفی 852ھ محدث محی الدین ابو محمد عبدالقادر صاحب متوفی 696ھ الجواہر المفیہ ،شاہ عبد العزیز محدث متوفی 1229ھ دہلوی نے اور مولوی عبد الحی لکھنوی متوفی 1304ھ نے امام طحاوی سے نقل کیا ہے کہ انہوں نے اپنا سال ولادت 239ھ بیان فرمایا ہے اور امام عبداللہ شمس الدین ذہبی متوفی 748ھ نے ان سے 237ھ نقل فرمایا ہے.

اساتذہ:

امام طحاوی نے ابتدائی تعلیم کے بعد اپنے ماموں ابو ابراہیم مزنی سے فقہ شافعی پڑھنا شروع کی لیکن آپکی طبعیت سلیمہ میں جو قوت استدلال کی تلاش اور نظر میں باریک بینی تھی اس نے بہت جلد آپ کا رخ شافعیت سے حنفیت کی طرف موڑ دیا چنانچہ 268ھ میں آپ نے مصر جاکر اس وقت کے شہر آفاق استاد ابو جعفر احمد بن ابی عمران موسیٰ بن عیسیٰ سے فقہ حنفی کی تحصیل شروع کر دی ۔احمد ابن ابی عمران فقہ حنفی میں زبردست دسترس رکھتے تھے اور دو واسطوں سے ان کا سلسلہ حضرت امام اعظم رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے مل جاتا تھا. اسی طرح امام طحاوی کی جو سند امام اعظم سے متصل ہے اس کی تفصیل یہ ہے:

احمد بن ابی عمران عن محمد بن سماعتہ عن ابی یوسف عن ابی حنیفہ.

مصر کے بعد امام طحاوی شام چلے گئے اور وہاں شام کے قاضی القضات الوحام سے فقہ کی تکمیل کی ان کے علاؤہ مصر کے باقی مشائخ سے علم حدیث میں استفادہ کیا اور جس قدر مشائخ حدیث انکی زندگی میں مصر آئے ان سب سے امام طحاوی نے علم حدیث میں استفادہ کیا. جن میں سلیمان بن شعیب کیسانی ،ابو موسیٰ یونس بن عبد الاعلی الصدر فی وغیرہ کے نام لیے جاتے ہیں حافظ ابن حجر عسقلانی نے علم حدیث میں امام طحاوی کے جن مشائخ کا ذکر کیا ہے وہ یہ ہیں:

یونس بن عبد الاعلی ،
ہارون بن سعید ایلی،
محمد بن عبد اللہ بن عبد الحکم ،
بحر بن نصر،
عیسیٰ بن مشرود ،
ابراہیم بن ابی داؤد انصر لیس،
ابوبکر،
بکاربن قتیبہ،
اور امام ذہبی نے ان اساتذہ کے علاوہ
عبد الغنی بن تفاوتی کا ذکر بھی کیا ہے.

تلامذہ:

امام طحاوی کی علمی شہرت دور دراز علاقوں میں پھیل چکی تھی اس لیے آپ سے استفادہ کرنے کے لیے دور دراز سے تشنگان علم آتے تھے جن بے شمار لوگوں نے آپ سے علم حدیث میں سماع حاصل کیا ان میں سے چند حضرات کے اسماء یہ ہیں :

ابو محمد عبد العزیز محمد الجوہری،

حافظ احمد بن بن قاسم بن عبد اللہ البغدادی المعروف بابن الخشاب،

ابوبکر علی بن سعدویہ البروعی ،

ابوالقاسم سلمتہ ابن القاسم ابراہیم القرطبی ابوالقاسم عبداللہ بن الداؤدی،

حسن بن القاسم بن عبد الرحمن المصری ،

قاضی ابن ابی العوام،

ابو الحسن محمد بن احمد آخمینی،

حافظ ابوبکر بن ابراہیم بن علی المقری،

ابوالحسن علی بن احمد الطحاوی ،

ابوالقاسم سلیمان بن احمد بن ایوب الطبرانی صاحب المعجم،

حافظ ابو سید عبد
الرحمن بن احمد بن یونس مصری،

حافظ ابوبکر محمد بن جعفر بن الحسین بغدادی میموں بن ہمزہ العبیدلی وغیرہ.

تبدیلی مسلک:

امام ابوجعفر طحاوی ابتداء میں شافعی المذہب تھے۔ بعد میں شافعیت کو چھوڑ کر حنفی مسلک اختیار کر لیا۔ عام شوافع مصنفین نے اس کا سبب بیان کرنے میں حقیقت پسندی سے کام نہیں لیا۔ مثلاً امام ذہبی لکھتے ہیں:

(وكان اولًا شافعيا يقرء على المزني فقال له يوم واللّٰه ماجاءمنكم شيء فغضب من ذلك وانتقل من ابی عمران۲)

امام طحاوی پہلے شافعی المذہب تھے۔ ایک دن دوران تعلیم ان کے ماموں مزنی ان پر ناراض ہوئے اور کہا تم سے کچھ نہ ہو سکے گا۔ امام طحاوی اس بات پر ناراض ہو گئے اور جاکہ ابو عمران حنفی سے پڑھنا شروع کر دیا۔

لیکن استادکاشاگرد پر محض ناراض ہوناکوئی اتنی اہم اور شدید بات نہیں ہے۔ جس کی وجہ سے مسلک بدلنا پڑے۔ اصل بات کیا تھی اس کا علامہ عبد العزیزہ ہاروی ذکر فرماتے ہیں:

(ان الطحاوي كان شافعى المذهب فقرء في كتابه ان الحاملة اذا ماتت وفي بطنها ولد حتى لم يشق في بطنها خلافا لابي حنيفة وكان الطحاوى ولد مشقوقا فقال لا ارضى بمذهب رجل يرضى بھلا کی فترك مذهب الشافعي وصار من عظماء المجتهدين على مذهب ابي حنيفة ۳)

امام طحاوی ابتداء ميں شافعی المذہب تھے۔ ایک دن انھوں نے کتب شافیہ میں پڑھا کہ جب حاملہ عورت مر جائے اور اس کے پیٹ میں بچہ زندہ ہو تو اس کے پیٹ کو چیرا نہیں جائے گا۔ برخلاف مذہب ابو حنیفہ.. اور امام طحاوی کو مذمب حنفی پر پیٹ چیر کر نکالا گیا تھا۔ امام طحاوی نے اس کو پڑھ کر کہا میں اس شخص کے مذہب سے راضی نہیں، جو میری ہلاکت پر راضی ہو، پھر انہوں نے شافعیت کو چھوڑ دیا اور حنفی مسلک کو اختیار کیا اور اس مسلک کے عظیم مجتہد بن گئے۔

مولانا فقیر محمد جہلمی نے اس واقعہ کو ذرا اور تفصیل سے بیان کیا ہے لکھتے ہیں:

فتاوی برہنہ میں آپ کے انتقال مذہب کا یہ سبب لکھا ہے کہ آپ ایک دن اپنے ماموں سے پڑھ

رہے تھے کہ آپ کے سبق میں یہ سند آیا کہ اگر کوئی حاملہ عورت مرجائے اور اس کے پیٹ میں بچہ زندہ ہو تو بر خلاف مذہب امام ابو حنیفہ کے امام شافعی کے نز دیک عورت کا پیٹ چیر کر بچہ نکالنا جائزہ نہیں، آپ اس مسئلہ کے پڑھتے ہی اٹھ کھڑے ہوئے اور کہنے لگے کہ میں اس شخص کی ہرگز پیروی نہیں کرتا جو مجھ جیسے آدمی کی ہلاکت کی پرواہ نہ کرے، کیونکہ آپ اپنی والدہ کے پیٹ ہی میں تھے کہ آپ کی والد فوت ہو گئی تھیں اور آپ پیٹ چیر کر نکالے گئے تھے۔ یہ حال دیکھ کر آپ کے ماموں نے آپ سے کہا خداکی قسم تو ہرگز فقیہ نہیں ہو گا۔ پس جب آپ خدا کے فضل سے فقہ وحدیث میں امام بے عدیل اور فاضل بے مثل ہوئے تو اکثر کہا کرتے تھے میرے ماموں پر خدا کی رحمت نازل ہو اگر یہ زندہ ہوتے تو اپنے مذہب شافعی کے بموجب ضرور اپنی قسم کا کفارہ ادا کرتے۔

حدیث اور فقہ میں مہارت :

270٠ھ کے بعد امام طحاوی نے مصر کے قاضی ابو عبد اللہ محمدبن عبدہ کی نیابت کا عہدہ قبول کیا۔ امام طحاوی فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ جب میں قاضی کی مجلس میں بیٹھا ہوا تھا، ایک شخص آیا اور کہنے لگا ، ابو عبیدہ بن عبداللہ نے اپنی ماں سے اور انہوں نے اپنے باپ سے کون سی حدیث روایت کی ہے جب شرکا و مجالس میں کسی شخص کو جواب نہ آیا تو میں نے اپنی سند کے ساتھ وہ حدیث بیان کی ۔

(حدثنا بكار بن قتيبة نا ابو احمد نأسفيان عن عبد الاعلى التعلمي عن ابی عبد الله عن ابيه ان رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم قال ان الله ليغار للمؤ من فليعز وحدثنا به ابراهيم بن ابی داؤد نا سفيان بن وكيع عن أبيه عن سفيان موقوفاً.)

جب آپ اس کی حدیث کو دو سندوں کے ساتھ مرفوعا اور موقوفا بیان کر چکے تو وہ شخص بے ساختہ کہنے لگا شام کو میں نے آپ کو فقہاء کے میدان میں دیکھا تھا اور اب آپ حدیث کے میدان میں ہیں۔ بہت کم لوگ ہوں گے جو ان دونوں فنون میں آپ کی طرح جامعیت رکھتے ہوں۔ آپ نے یہ سن کر فرمایا یہ محض اللہ تعالی کا فضل اور اس کا انعام ہے .

(امام بہیقی کاانکار:)

شافعیہ کا مسلک ہے کہ اس ذکر سے وضو ٹوٹ جاتا ہے۔ امام طحاوی نے شرح معانی الآثار میں اس حدیث کی تمام اسانید پر جرح کی ہے اور ثابت کر دیا ہے کہ اس حدیث کی تمام اسانید کمزور اور مجروح ہیں جس وجہ سے یہ حدیث لائق استدلال اور قابل احتجاج نہیں ہے۔ امام بیہقی م۴۵۸ھ نے کتاب المعرفہ میں اس بحث کا ذکر کیا ہے ان سے امام طحاوی کے دلائل کا جواب تو نہیں بن سکا ، فقط اتنا کہہ دیا:

(ان علم الحديث لم يكن من صناعته)

کہ علم حدیث امام طحاوی کا فن نہیں تھا۔ لیکن علم کے نزدیک امام بیہقی کے اس بے دلیل قول کا کوئی وزن نہیں ہے۔ فن حدیث میں امام طہاردی کے سطوت کے بارے میں ہم سطور سابقہ میں حافظ ابن سید عبدالبراندلسی مالکی م ۴۶۳ھ کی شہادت پیش کر چکے ہیں جو مصر اور مغرب کے علماء پر امام بیہقی سے زیادہ نظر رکھتے ہیں۔ ان کے علاوہ ابو سعید بن یونس مؤرخ مصر اور دیگر ائمہ کبار اور علماء رجال نے فن حدیث میں امام طحاوی کے فضل وکمال کا اعتراف کیا ہے ۔ در حقیقت امام بیہقی کا یہ قول احناف کے خلاف تعصب کے سوا کچھ نہیں اور اسی تعصب کے سبب سے امام بیہقی نے سنی کبری میں احناف کی موید روایات کی تضعیف اور شوافع کی موید روایات کی تصحیح اور رجال کی تخریج اور توثیق میں شدید لغزشیں کھائی ہیں اور جگہ جگہ غلطیاں کی ہیں چنانچہ شیخ علاؤ الدین علی بن عثمان المعروف بابن الترکمانی م ٧٥ھ نے الجواہر الحنفى فى الرد علی البہیقی میں ان تمام لغزشوں اور غلطیوں کو متعین کر دیا ہے۔ حاجی خلیفہ نے کشف الظنون میں اتقانی سے نقل کر تے ہوئے لکھا:

امام طحاوی کی جلالت علم اور ان کے اجتہاد، ورع تقوی اور معرفت مذاہب میں ان کے تقدم کے پیش نظر ان لوگوں کے انکار کا کوئی اثر نہیں پڑتا کیونکہ یہ منکرین امام طحاوی سے کافی متاثر ہیں، اگر کسی شخص کو امام طحاوی کی مہارت حدیث میں شک ہو تو وہ صرف معانی الآثار ہی کا مطالعہ کرے جو ان کی پہلی تصنیف ہے۔ ہمارا مسلک تو الگ رہا کیا کوئی شخص کسی مذہب سے بھی اس کتاب کی نظیرلا سکتا ہے.

اعزاز و اکرام

امام طحاوی کے علم و فضل اور ورع و تقویٰ کے سبب تمام لوگ ان کا احترام کیا کہتے تھے۔ اکا بر سلطنت اور اعاظم ملت سب کے دلوں میں ان کی عظمت اور عقیدت جاگزین تھی اور عوام و خواص سب ان کا اعزاز اور اکرام ملحوظ رکھتے تھے

ابن زولاق بیان کرتے ہیں کہ جب عبد الرحمان بن اسحاق معمر جوہری مصر کے عہدہ تضاد پر متمکن ہوئے تو وہ امام طحاوی کے آداب و احترام کا پورا پورا خیال رکھتے تھے اور سواری پر ہمیشہ ان کے بعد سوار ہوتے تھے اور ان کے بعد اترتے تھے جب ان سے اس کا سبب پوچھا گیا تو کہنے لگے، امام طحاوی عمر میں مجھ سے گیارہ سال بڑے ہیں اور اگر وہ مجھ سے گیارہ گھنٹے بھی بڑے ہوتے تو مجھ پر پھر بهی ان کا احترام لازم تھا کیونکر عہدہُ قضا ء کوئی ایسی بڑی چیز نہیں ہے جس کی وجہ سے میں امام طحاوی جیسی شخصیت پر فخر کر سکوں .

اسی طرح جب ابو عبید اللّٰه محمد بن زہیر نے عہدہ قضا سنبھالا اور امام طحاوی ان سے ملنے آئے تو انہوں نے آپ کا بہت اعزاز اور اکرام کیا اور ان کی ایک حدیث املاء کرائی جس کو انہوں نے تیس سال پہلے ایک شخص کے واسطہ سے امام طحاوی سے روایت کیا تھا.

سیرت اور عظمت کردار :

امام طحاوی حق گو، نڈر اور بے باک شخصیت کے مالک تھے۔ بغیر کسی لاگ لپٹ کے اور نتائج کی پرواہ کئے
بغیر کلمہ حق کہتے اور اس پر قائم رہتے ۔ وہ قاضی ابو عبید کے نائب تھے لیکن اس کو ہمیشہ صحیح روش کی تلقین کرتے رہتے تھے۔ ایک دفعہ آپ سے قاضی نے فرمایا کہ وہ اپنے کارندوں کا محاسبہ کیا کریں ۔ قاضی نے جواب دیا کہ اسماعیل بن اسحاق اپنے کارندوں کا حساب نہیں لیتے تھے۔ امام طحاوی نے فرمایا قاضی بکار اپنے کارندوں کا حساب نہیں لیتے تھے۔ قاضی نے پھر اسماعیل کی مثال دی۔ امام طحاوی نے فرمایا کہ حضور صلی اللہ علیہ وسلم اپنے کارندوں کا محاسبہ کیا کرتے تھے اور اس سلسلہ میں ابن اطتبیہ کا قصہ سنایا۔

جب کارندوں کو اس واقعہ کا علم ہوا تو وہ غضب ناک ہو گئے اور انھوں نے قاضی کو امام طحاوی کے خلاف بھڑ کا نا شروع کر دیا یہاں تک کہ قاضی امام طحاوی کا مخالف ہو گیا. اس اثناء میں قاضی معزول کر دیا گیا۔ جب امام طحاوی نے اس کی معزولی کا پروانہ پڑھا توکچھ لوگ کہنے لگے آپ کو مبارک ہو امام طحاوی یہ سن کر سخت ناراض ہوئے اور کہنے لگے:

قاضی بہر حال صاحب علم آدمی تھا، میں کس کے ساتھ عملی گفتگو کیا کروں گا

تصانیف :

امام طحاوی کثیر التعداد کتب کے مصنف تھے، مورخین اور تذکرہ نگارہ ہر دور میں آپ کو سراہتے رہے۔ تفسیر حدیث، فقہ، اصول فقہ، کلام ، تاریخ ، رجال اور مناقب تقریبا تمام موضوعات پر آپ کی تصانیف موجود ہیں جن کی تفصیل یہ ہے:

(۱) احکام القرآن

(٢)شرح معانی الآثار

(٣) مشکل الآثار

(٤) اختلاف العلماء

(٥)کتاب الشروط

(٦)الشروط الصغير

(٧)الشروط الاوسط

(٨)مختصر الطحاوی فی الفقہ

(٩)النوادر الفقيه

(١٠)کتاب النوادر والحكايات

(١١)حكم ارض مکہ

(١٢)حكم الفئى و الغنائم

(۱۳)نقض كتاب المدلسین

(١٤)کتاب الا نشر به

(۱۵)الرد علی عیسٰی بن ابان

(۱۲)الرد علی ابی عبید

(۱۷)اختلاف الروایات

(۱۸) المرزیہ

(۱۹)شرح الجامع الکبیر

(۲٠) شرح الجامع الصغیر

(۲١)کتاب المحاضر و الجلات

(٢٢)کتاب الوصايا والفرائض

(۲۳)کتاب التاریخ الکبیر

(۲۴)اخبار ابی حنیفہ

(٢٥)عقيدة الطحاوی

(۲۶)تسویه بین اخبرنا وحدثنا

(۲۷)سنن الشافعی

(۲۸)صحیح الآثار.

وفات :

بیاسی سال کی عظیم اور پر شکوہ زندگی میں گزارنے کے بعد امام طحاوی ذيقعده ٣٢١ھ میں وفات پا گئے۔

حوالہ :
نام كتاب : “طحاوی شریف ” (اردو)
ترجمه : علامہ محمد صدیق ہزاروی۰

 
Table of Contents