Search
Sections
< All Topics
Print

28. Imam Ibn Jarood [Muntaqa li ibn Jarood] [307]

Imam Ibn Jarood (رحمه اللہ)

Naam-o-Nasab:

Abdullah naam, Abu Muhammad Kuniyat aur nasab naama ye hai, Abdullah bin Ali bin Jarood.

Watan:

San wiladat aur khandani halaat maloom nahi ho sakey, watan Nishapoor hai, Makkah mein mujaawrat ikhtiyar ki thi.

Asaatzah:

Chand mash hoor asaatzah ke naam ye hain:

Abu Saeed bin Ashaj, Ahmad bin Azhar, Ahmad bin Yusuf salmi, Ishaaq Koosaj, Bahar bin nasar, Ziyaad bin Ayyub, Abdullah bin Hashim toosi, Abdurrahman bin Bashar, Ali bin Khushram, Muhammad bin Abu Abdurrahman Muqarrar, Muhammad bin Adam, Muhammad bin Abdullah bin Abdul hakam, Muhammad bin Usman bin kirama, Muhammad bin Yahya, Yaqoob bin Ibrahim Doorqi waghairah.

Talaamizah:

Hafiz Zahabi ne unkay chaar talamizah Abu Hamid bin Sharqi, Da’alaj sanjari, Muhammad bin Nafe’ Makki aur Yahya bin Mansoor ka naam tahreer kiya hai.

Zabt-o-Itqaan:

Aur unkay IlmFazal kay bare mein likhtay hain:

Woh hadees ke hafiz, Imam, Naqid, Siqah wa zaabit aur jayyad Ulamaye Islam mein thay.

Wafaat:

Unka san wafat 307 Hijri hai.

Tasneefaat:

Ibn Jarood ki kitab “Al muntaqi” ahkam-o-Sunan se mutalliq riwayaat-o-ahadith ka aik muntakhib wa mukhtar majmua hai jo aik jild mein aur Taqreeban aath sau hadeeson par mushtamil hai.

Hazrat Shah Abdul azeez Sahab farmatey hain:

“Ye kitab Goya Sahih Ibn Khuzayma par mustakhraj hai lekin usme sirf uskay usool-e-ahadith par iktafa kiya gaya hai, isi liye uska naam Muntaqi hai.”

Sahib Al risaalta Al mustarfa kitani farmate hain ki:

“Uskay istaqsa se maloom hota hai ki uski bohot kam hadeeson mein Sahihain se tafarrud kiya gaya hai”.

Ibn Hazam ka bayan hai ki:

“Sahihain ke baad Ibn Sakan, Ibn Jarood aur Ibn Asbagh ki kitabon ka darja hai, iskay baad Abu Dawood wa Nasai ki kitabon ka number ata hai.”

Muntaqi Ibn Jarood pehli martab Hyderabad Dakkan se 504 safhaat mein shaaya hui hai, shuroo mein jin chheh taraq se uski riwaayat ki gayi hai, unka zikr hai, hawashi mukhtasar magar mufeed mataalib par mushtamil hain, har hadees ke saamne hashia mein uskay maakhaz huroof tahajji ke zariya zahir kiye gaye hain, maslan ط se muwatta, حم se Musnad Ahmad خ se Bukhari aur م se muslim waghairah.

Abu Umar wa Andaloosi ne Al murtaqi fi Sharh Al Muntaqi ke naam se uski Sharh likhi thi.

REFERENCE:
Book: “Tazkeeratul Muhadiseen”
Taleef: ‘Ziya Udddin Islaahi’

 

Table of Contents