Search
Sections
< All Topics
Print

09. RISHTEDARON SE QATA’ TALL’UQ HONA [Shunning relatives]

Rishtedaron se qata ta’aluq hojana*

Allah Tala ne farmaya:
وَاتَّقُوا اللّٰهَ الَّذِىۡ تَسَآءَلُوۡنَ بِهٖ وَالۡاَرۡحَامَ‌ ؕ اِنَّ اللّٰهَ كَانَ عَلَيۡكُمۡ رَقِيۡبًا ۞ (النساء 1:4)

“Aur Allah se daro jis kay naam par tum aik dosre se sawal karte ho aur qarabat daari ( kay taluqat munqate karne) se daro”.

فَهَلۡ عَسَيۡتُمۡ اِنۡ تَوَلَّيۡتُمۡ اَنۡ تُفۡسِدُوۡا فِى الۡاَرۡضِ وَتُقَطِّعُوۡۤا اَرۡحَامَكُمۡ ۞اُولٰٓئِكَ الَّذِيۡنَ لَعَنَهُمُ اللّٰهُ فَاَصَمَّهُمۡ وَاَعۡمٰٓى اَبۡصَارَهُمۡ ۞
(محمد : 23_48/22)

“Phir tum se ye bhi tawaqqa hai keh agar tum ko Hakim bana diya jae tou mulk mein fassad barpa kar do aur apne rishte naate tour dalo. Ye wo log hain jin par Allah ne lanat ki, us ne un ko behra aur un ki ankhon ko andha kar diya”.


Aur farmaya:


الَّذِيۡنَ يُوۡفُوۡنَ بِعَهۡدِ اللّٰهِ وَلَا يَنۡقُضُوۡنَ الۡمِيۡثَاقَۙ ۞ وَالَّذِيۡنَ يَصِلُوۡنَ مَاۤ اَمَرَ اللّٰهُ بِهٖۤ اَنۡ يُّوۡصَلَ وَيَخۡشَوۡنَ رَبَّهُمۡ وَ يَخَافُوۡنَ سُوۡۤءَ الۡحِسَابِؕ‏ ۞ (الرعد : 13/20,21)

“Jo Allah kay ahd ko poora karte hain, aur meesaq ko nahi torte aur jo un rishton ko jorte hain jin ko jorne ka Allah ne hukum diya hai, apne Rab se darte hain aur bure hisaab se khouf rakhte hain.”
Nez farmaya:


وَمَا يُضِلُّ بِهٖۤ اِلَّا الۡفٰسِقِيۡنَۙ ۞ الَّذِيۡنَ يَنۡقُضُوۡنَ عَهۡدَ اللّٰهِ مِنۡۢ بَعۡدِ مِيۡثَاقِهٖ وَيَقۡطَعُوۡنَ مَآ اَمَرَ اللّٰهُ بِهٖۤ اَنۡ يُّوۡصَلَ. (البقرة :2/26,27)

 

“Woh is kay zarie kaseer ko gumrah karta hai, aur kaseer ko us kay zarie hidayat deta hai, lekin gumrah sirf fasiqon ko hi karta hai, wo Allah kay Sath ehdo wafa pukhta karne kay ba’ad use Tor detw hain aur Jin rishton ko Allah ne jorne ka hukum dia hai unko qata’ kar dete hain aur Mulk mein fasad phelate hain, yahi log khasara paane wale hain “

Saab se bara ehed woh hai Jo Allah aur bande kay darmian hai, Jo Allah ne bande par lazim kia hai, RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Qata’ rehmi karne Wala jannat mein dakhil nahin hoga” [ Bukhari : 5983; Muslim: 2556]

Pas jo shakhs apne za’eefo natawa rishte daaron se qata’ ta’alluq kar le, unko chor de, un par bara pan zahir kare,aur woh maal daar hone kay bawajud un par naiki aur ehsan na kare, jab keh woh mohtaj hon, tou esa shakhs is wa’eed mein dakhil hai, woh jannat mein Jane se mehrum hai, illa yeh keh Allah عزوجل kay huzoor taubah kar le aur un kay Sath husne sulook se paish ae

Hadith mein RasullAllah ﷺ se sabit hai keh aap ne farmaya:

“Jis shakhs kay rishtedaar za’eefo natawan hon aur woh un se husne sulook na kare aur un kay elawa kisi aur ko apna sadqa de de tou Allah uska sadqah qubool karta hai na woh Roz-e-Qayamat (nazre rehmat se) uski taraf dekhega, agar woh khud mohtaj ho tou woh unse mail jol rakh kar aur un kay halaat ma’lum kar kay ta’alluq jorne ki koshish kare” [Tabrani]

Nabi ﷺ ka farman hai:

“Apne rishtedaaron se ta’alluq jore rakho khuwah Salam kay zarie ho”

Aur aap ﷺ ne farmaya:

“Tum mein se jo shakhs Allah aur yaume akhirat par Iman rakhta ho woh apne rishtedaaron se ta’alluq qaaim rakhe” [Bukhari: 6138]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Ta’alluq qaaim karne Wala woh nahin jo badle mein ta’alluq qaaim kare, balkeh ta’alluq qaaim karne Wala woh shakhs hai jab usse ta’alluq tora jae tou woh use jore”

Aur Aap ﷺ ne farmaya:

Allah ta’ala farmata hai: main Rahman hun aur woh (rishtedaari) rehem hai, pas jis ne use milaya main use milaunga aur jis ne us qata’ kia, main use qata’ karunga” [Mustadrik Hakim 157/4]

Ali bin Hussain رضي الله عنه se riwayat hai keh unhon ne apne bete se kaha : mere bete qata’ ta’alluq karne wale shakhs ka ham nasheen na banna, kyun keh main ne Allah ki kitab mein 3 maqamat par use mal’oon payabhaj

Abu Hurairah رضي الله عنه se marwi hai [1] keh woh Bethe RasullAllah ﷺ se Hadith bayan kar rahe the, tou unhon ne kaha: main har qaate’ rehem par tangi karunga warna woh hamare pas se khara hojae, pas halqe kay akhir se sirf ek nojawan khara hua, pas woh apni phupi kay pas gaya jis se us ne Kai barson se qata’ ta’alluq kar rakha tha aur us ne usse sulah kar li, uski phupi ne use kaha: bhateeje! Tujhe kon si cheez yahan le ai? Us ne kaha main RasullAllah ﷺ kay Sahabi Abu Hurairah رضي الله عنه kay pas betha hua tha tou unhon ne kaha: main har qaate’rehem par tangi karunga warna woh hamare pas se chala jae, us ki phupi ne use kaha: Abu Hurairah kay pas Jao aur unse pucho: keh aise kyun? Pas woh un kay pas gaya aur uska apni phupi kay Sath Jo mukalmah wa ma’amlah hua tha unhen bataya aur unse pucha : qaate’rehem ap kay pas kyun nahin beth sakta? Tou Abu Hurairah رضي الله عنه ne farmaya: main ne RasullAllah ﷺ ko yeh farmate hue suna hai:

“Jis qaum mein qaate’rehem ho wahan rehmat naazil nahin hoti”

Ek hikayat bayan ki jati hai keh kisi maal daar shakhs ne baitullahil Haram ka Hajj kia , pas jab woh Makkah pohoncha tou us ne apne maal mein se ek hazar deenar aise shakhs kay pas amanat rakh die Jo Amanato salah kay naam se mausoom tha aur yeh amanat wuqoofe Arafat tak thi pas Jab usne Arafat mein wuqoof kiya aur makka wapas aaya to pata Chala ke woh aadami faut ho Gaya hai, usne us ke ghar walon se apne Maal ke bare mein poocha to pata Chala ke unhen uske muta’alliq kuchh pata nahin pas woh ulamae Makkah kay pas aya, aur apne haal aur Maal ke bare mein unhen bataya to unhone use Kaha Jab aadhi Raat ho jaaye to zamzam ke kunwen ke pas ja kar us mein dekhna aur us ka Naam Le Kar bulana Agar woh jannati hua to woh pehli martba hi Tumhen jawab de dega, pas woh aadmi gaya aur aur zamzam mein awaz di , lekin kisi ne use jawab na dia , woh un (ulama) kay pas aya aur unhen bataya to unhone kaha :
انا لله وانا إليه راجعون
Hamen tere Sathi kay Jahannumi hone ka andeshah hai , ab Tum mulke yaman Jao, wahan barhoot naami kunwan hai , mash’hoor hai keh woh Jahannum kay dahanw par hai, rat kay waqt wahan dekhna aur uska nam le kar awaz dena, agar woh Jahannumi hua tou wahan se tumhen jawab dega, pas woh shakhs yaman gaya aur kunwen kay muta’alliq pucha, use bata dia gaya, to woh rat ke waqt wahan gaya usmein dekha aur us ka nam le kar awaaz di usne jawab dia to usne kaha mera sona kahan hai usne kahaain ne use apne ghar ki fulan jagah per dafan kiya hai main ne apne bete ko uske muta’alliq nahin bataya tum wahan jao us jagah se khodo Tumhen wahan sona mil jaayega main ne use kaha kis chee ne tumhen yahan pohuncha dya? Ham to tumhare bare mein acha guman karte the usne kaha meri ek gareeb behen thi main ne use chhor rakha tha aain us par shafqato meherbani nahin kiya karta tha pas Allah سبحانه و تعالى ne is wajah se mujhe yeh saza di aur Allah ne mujhe is jagah utara [1] Sahih Hadith mein is ki tasdeeq hoti hai.

[1] targheebo tarheeb mein Abdullah bin Abi Aufi ki riwayat se asfahani ki taraf mansoob hai aur unhon ne is kay za’eef hone ki taraf ishara kia hai, aur Abdullah bin Abi Aufi ki riwayat se Al adabul mufrad lil Bukhari mein hai, wahan bhi ise za’eef qarar dia gaya hai

 

[2] Imam ibne Qayyim رحمه الله ne apni kitab “ar Rooh” mein bayan kiya hai ki jiska yeh qaul hai ke mominon ki roohen zamzam ke kunwen mein jama hoti hain Qur’ano sunnat se us per koi dalil nahin, Qur’ano sunnat ki baat ko taslim karna hi wajib hai aur yeh qaul qabile aitemad aur Sahih nahin, kyun keh tamam mominon ki roohen is kunwen mein nahin aa sakti , neez yeh sunnate sareeha se sabit masle ke bhi khilaf hai, Sahih sabit hai keh ” momin ki Rooh ek parinde ki shakal mein jannat kay phal kay sath mu’allaq hai” mukhtasaran ye baatil tareen qaul hai, unhon ne is baat ka munaqasha kia : “mominon ki roohen hauz mein hain jab keh kafiron ki roohen hazar maut (yaman) mein barhoot naami kunwan mein hain” 

Is kay mein farmaya:

Shayad is kay qaail ne yeh bat ehle kitab se li ho.

 

Aap ﷺ ne farmaya:

“Qate'(rehem) jannat mein nahin jaega”

Ya’ani behen, khala, phupi, bhanji aur is tarah deegar kay rishtedaaron se qata’ta’alluq karne wala Jannat mein nahin jaega

Pas ham Allah ta’ala se uski ita’at karne ki taufeeq talab karte hain, kyun keh woh sakhi daata bara fayyaz hai.

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

09. Severing the Ties of One’s Relatives 

Allah, the Most High, says, [Fear Allah, through Whom ye demand your mutual (rights) and be heedful of the wombs.] (An-Nisa’: 1) 

The Qur’an also states, [Then it is to be expected of you, if ye were put in authority, that ye will do mischief in the land, and break your ties of kith and kin: Such are the men whom Allah has cursed for he has made them deaf and blinded their sight.}

(Muhammad: 22-23)

Allah, the Almighty, says, [Those who fulfill the covenant of Allah and fail not in their plighted word; those who join together those things which Allah hath commanded to be joined, hold their Lord in awe, and fear the terrible reckoning.}

(Ar-Ra’d: 20-21) 

Allah, the Most High, says, {He causes many to stray, and many He leads into the right path,. But He causes not to stray, except those who forsake (the path), those who break Allah’s covenant after it is ratified, and who sunder what Allah has ordered to be joined, and do mischief on earth: Those cause loss only to themselves.] (Al-Baqarah: 26-27) 

The Prophet (pbuh) said, “He who severs his family ties will not enter Paradise.”¹ Thus, whoever abandons his relatives, is proud over them and disdains to support the needy if he is rich is included in this punishment unless he repents to Allah the Most Exalted and treats them well.It was related that the Messenger of Allah (pbuh) said, “Whoever has feeble kins and does not treat them well and pays his charity to others and neglects them,Allah does not accept his charity and will not look to him on the Day of Judgment.”²

But whoever is poor should keep good terms with them, visit them and be heedful of them. 

¹Reported by Al-Bukhari and Muslim. 
²Reported by Al-Mundhiri.

The Prophet (pbuh) said, 

“Wet your wombs (relationships) even by just greeting.”¹The Prophet also said, 

“Whoever believes in Allah and the Last Day should have a link with his kins.”² “A person who reciprocates in doing good is not the one who joins his blood relations generously,’ but he is one who joins with his blood relations when they cut with him.”³

“Allah Almighty says, “I am the Merciful and it is the womb i.e. blood relation. I will hold by him who hold by it; and I will cut asunder from him who cuts asunder from it.”⁴

Ali Ibn AI-Husain, may Allah be pleased with him, said to his son, “O son do not befriend he who severs the ties of his kins since I have found him cursed in Allah’s Book three times.”  One day, Abu Hurairah, May Allah be pleased with him, sat to deliver a lesson about the people’s tradition?  Then, he said, “I hope that anyone of you who severs the ties of his kins to leave us.” A young man sitting at the end of the circle left. The young man went forward to his aunt whom he did not visit for years and reconciled her. His aunt asked him: “Why did you come, my nephew?” He said, “When I sat to listen from Abu Hurairah, the prophet’s companion, he said, “I hope anyone of you who severs the ties of his kills to leave us.” Then, his aunt asked him to go back to Abu Hurairah to ask him about the reason. Thereupon, Abu Hurairah answered: “I heard the Messenger of Allah (pbuh) saying, “Mercy is not showed upon a group of people among them is someone who severs the ties of his kins.”⁵

Once, a wealthy man when traveling to at the Sacred House in Mecca to perform Hajj (pilgrimage), deposited one hundred thousand Dinars to a trusty and righteous man until he returned from’ Arafat.Having stood on Arafat, he returned to Mecca to find that the man was dead. He asked the deceased family for his money. But they knew nothing about the money. Accordingly, he explained the plight to the scholars of Mecca who then told him to approach the Zamzam well at midnight and then call upon the man.If he answered you the first time you called, he was among the people of Paradise. But the man went back to them after doing what they said with no response. Thereupon, they said, “To Allah we belong and to Him is our return.” 

The man might be of the people of Fire. Thus, you have to go to Yemen where there is a well-called Barhut. It is said that this well is at the mouth of the Hell, and call upon the man at midnight. Therein, if he is among the people of Fire he will answer you- Having arrived in Yemen and approaching the well, he called upon the man and the man responded. He asked him about the wealth. He told him that he had buried it in such and such a place. Thus, you could go there and dig to regain your wealth. Then, he asked him why he was in such a (horrible) place though we thought good of you?” He said, “I had a poor sister whom I abandoned and did not treat her well. Thereby, Allah punished me because of her.” 

This is shown in the Prophet’s hadith, “He who severs the ties of his family will not enter Paradise.”

¹lbn Hajar AI-Hathami mentioned it in Majma’ Al-Zawa’id and said it is reported by Al-Bazzar. 
²Reported by AI-Bukhari. 
³Reported by A1-Bukhari. 
⁴Reported by At- Tirmidhi 
⁵This is a false story
 
REFERENCE:
BOOK: “MAJOR SINS” OF IMAM SHAMSU ED-DEEN DHAHABI.
Distributed by : www.islambasics.com
Episode 9 || Poem On Major Sins ||Urdu Course with Shaikh Zafar Ul Hasan Madani #amau
Table of Contents