Search
Sections
< All Topics
Print

50. KYA ULTRA SONOGRAPHY QURANI AAYAAT KI NAFI KARTI HAI? [Is knowing the sex of the baby part of the knowledge of the unseen?]

KYA PAIDA HONE WALE BACHE KI JINS MA’LOOM KARNA GHAIB SE HAI

 

 

Sawal: 
Is daur mein doctron ka yeh batana keh maa ke pet mein bacha hai ya bachi aur Allah Ta’la ke is farman: “Aur woh (Allah Ta’la) hai jo kuch rahem mein hai janta hai” ko kaise jama’ kar sakte hein ? 
Aur Tafseer Iban-e-Jurair mein Mujahid se naqal kiya geya hai keh ek shakhs ne Nabi ﷺ se aurat ke janne ke mut’aliq sawal kiya to Allah Ta’la ne aayat nazil farmayi. Aur woh jo Qatada رحمہ اللہ se bayan kiya geya hai ? aur Allah Ta’la ke is aam qaul ki takhsees kya hai ” jo kuch rahmon mein hai” ? in sab mein jama’ kaise hai ? 

 

Jawab Ka Matan: 

 

Alhamdulillah.

Is masle mein baat karne se pahle main yeh pasand karta hoon keh yeh bayan kar dun keh Qur’an-e-Kareem ki sareeh nass ke sath waqe’a ka kabhi bhi t’aaruz nahin ho sakta,  aur jab kisi waqe’a mein yeh zahir ho raha ho keh is mein t’aaruz hai to ya to woh waqe’a siraf da’wa hi hoga us ki koi haqiqat nahin hogi aur ya phir Qur’an-e-Kareem us ke t’aaruz mein saraahat nahin hogi, kyun keh Qur’an-e-Kareem ki saraahat waqe’a haqiqi donon qata’i hain aur woh qata’i cheezon ke darmiyan t’aaruz kabhi bhi mumkin hi nahin.

To jab yeh wazeh ho chuka to ho sakta hai keh yeh kaha jaye : keh aj ke is daur mein jadeed aalaat ke sath rahem mein jo kuch hai usay dekha ja sakta hai, bacha ya bachi ke mut’aliq jo kaha gaya hai agar to woh batil hai phir to us mein kalaam karne ki zarurat hi nahin aur agar yeh baat sahih hai to phir is ka aayat ke sath t’aaruz nahin hai kyun keh aayat ghaibi umoor par dalalat karti hai jo keh Allah Ta’la ke ilam se mut’aliq hai aur woh panch cheezein hein, bache ke ghaibi umoor yeh hein, maa ke pet mein kitni der rahega, us ki zindagi kitni hai, amal kaise honge, rizq kitna hoga, nek bakhat hai ya bad bakhat, aur mukammal hone se pahle bacha hai ya bachi lekin khalqat ya’ni yeh pata chal jana aaya woh bacha hai ya bachi to yeh ilam-e-ghaib mein se nahin kyun keh us ki khalqat mukammal hone ke ba’ad ilm shahadat mein aa chuka hai aur in teen pardon mein chupa huwa hai agar unhen hata diya jaye to us ka pata chal jaye woh bacha hai ya bachi, yeh koi ba’eed nahin keh Allah T’ala ne aisi shuaen paida kar di hon jo keh un andheron ko phhad kar ander se dekhne ki salahiyat rakhti hon aur yeh pata chal jaye keh bacha hai ya bachi aur phir aayat mein bache ya bachi ke ilam ki tasreeh nahin aur na hi Sunnat mein is ka zikr milta hai.

 

Aur saail ne jo Ibn-e-Jurair ka qaol naqal kiya hai, keh ek shakhs ne Nabi ﷺ se aurat ke janne ke mut’aliq sawal kiya to Allah Ta’la ne yeh aayat nazil farmai, to yeh qaol muqat’e hai kyun keh Mujahid رحمہ اللہ Tabi’een mein se hain.

 

Aur Qatada رحمہ اللہ ki tafseer ko isbat par mehmool karna mumkin hai keh Allah Ta’la ka is ilm ko apne liye khas rakhna yeh khalqat se pahle se hai ya’ani mukamal hone se qabl lekin khalqat mukamal hone ke ba’ad dusre ko bhi ilm ho sakta hai.

 

Ibn-e-Kaseer رحمہ اللہ ka surat Luqman ki tafseer mein yeh qaol hai: Aur isi tarah Allah Ta’la jo rahem mein paida karna chahta hai usay koi aur nahin jaan sakta lekin jab Allah Ta’la ne us ke bacha ya bachi aur nek bakht ya bad bakhat hone ka hukm de diya to un farishton ko, jo us ke liye muqarrar hain, bhi ilm ho jata hai aur uski makhlooq se jise woh chahe usay bhi. 

 

Aur aap ka yeh sawal keh ” jo kuch rahmon mein hai” ko khas kya cheez karti hai to us ke mut’aliq hum yeh kehte hein keh agar to aayat takhleeq ke ba’ad muzakkar ya muannas ke mut’aliq hai to usay waq’e aur hiss mukhsis karti hai. Ulma-e-asool ne yeh zikar kiya hai keh Kitab-o-Sunnat ki takhsees ya to nass ya ijma’a ya qeyas ya his ya aqal se hoti hai aur un ki yeh kalaam ma’aroof hai.

 

Aur aayat se murad takhleeq se qabl hai to phir aayat ka t’aaruz kisi se hota hi nahin jo ke mazakkar-o-moanas ke ilam mein kaha gaya hai.

 

Aur Allah Ta’la ki ta’reef aur shukr hai keh waq’e mein aisi koi cheez paai hi nahin jati jo ke sareeh Qur’an ke t’aaruz mein ho aur jo kuch Musalmanon ke dushmanon se Qur’an-e-Kareem mein ta’an kiya hai keh kuch umoor jo keh zahiri taur par Qur’an-e-Karem ke t’aaruz mein hein to yeh sab un ki kam aqli aur kam fahmi ka shakhsana hai keh wo Qur’an ko samajh hi nahin sake ya phir un ki niyyat mein futoor hai lekin ahl-e-ilm aur deen wale bahes-o-tamhees ke ba’ad us ki haqiqat ko pate hain jo keh un ke shub’haat ko zaail karta hai, is par Allah Ta’la ka jitna shukr kiya jaye kam hai aur us ka ehsan hai.

 

To is masla mein logon ke do giroh hain aur ek darmiyani rah hai. Kuch logon ne to Qur’an-e-Kareem.ke zahir ko liya hai jis mein is ki koi sareeh nass nahin milti to unhon ne jo bhi us ke khilaf ho chahe woh yaqini moamla kyun na ho us ka inkar kiya hai, to us ne ta’an ko apne naqis nafas ki taraf khinch liya, ya phir Qur’an mein ta’an, kyun keh us ki nazar yaqini waq’e ke mukhalif hai.

 

Aur kuch logon ne jis par Qur’an dalalat karta hai un se ai’raz kiya aur madiyat ke peeche chal nikle to yeh log mulhid ho gaye.

 

Aur wast aur darmiyani rah wale log yeh hein: unhon ne Qur’an-e-Kareem ki dalaalat ko liya aur waq’e ki tasdeeq ki aur yeh jaan liya keh yeh donon haq hain aur yeh mumkin hi nahin keh sareeh  Qur’an -e-Kareem kisi aise zahir aur yaqini amar ke khilaf ho to unhon ne manqool aur ma’qool donon ko jama’a kiya to is bina par un ki aqlen aur yeh deen bhi donon saleem rahe. To Allah Ta’la ne Mominon ko is cheez mein hidayat di jis haq mein woh ikhtilaf karte the aur Allah Ta’la jise chahta hai seedhe raste ki hidayat deta hai.

 

Allah Ta’la humen aur hamare Momin bhaiyon ko is ki toufeeq de aur humein raah-e-hidayat par chalne wala aur chalaane wala banaye aur islah karne walon ka qaid banaye, Allah ki taufeeq ke ba’ghair kuch nahin kar sakta aur main usi par tawakkul karta hoon aur usi ki taraf ruju’ karta hoon….

 

REFERENCE:
https://islamqa.info/ur/answers/12368/کیا-پیدا-ہونے-والے-بچے-کی-جنس-معلوم-کرنا-غیب-سے-ہے

Is knowing the sex of the baby part of the knowledge of the unseen?

 
Question
How can we reconcile between the fact that doctors can find out whether the foetus is male or female, and the aayah (interpretation of the meaning): “and [He] knows that which is in the wombs” [Luqmaan 31:24], and what was narrated in Tafseer Ibn Jareer from Mujaahid, that a man asked the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) what his wife would give birth to, and Allaah revealed this aayah, and what was narrated from Qutaadah (may Allaah have mercy on him)? Is there any aayah or hadeeth to make the general meaning of this aayah (“what is in the wombs”) more specific?

 

 

Answer

 

Praise be to Allah.

Before I discuss this matter, I would like to explain that there can never be any contradiction between an unambiguous statement of the Qur’aan and reality. If there appears to be a contradiction with reality, it is either because what we think is reality is a  baseless claim, or the (text of) the Qur’aan  is not opposed to this reality in a clear and definite manner. The unambiguous statements of the Qur’aan and the facts of reality are both definitive, and two definitive things can never contradict one another. 

Based on the above, it may be said that now they (doctors) are able, through the use of precise machines, to discover what is in the wombs and to find out whether it is male or female. If what is said is false, then there is no point in discussing it. If it is true, then it does not contradict the aayah, because the aayah is referring to a matter of the unseen, which has to do with the knowledge of Allaah about these five matters. The matters of the unseen as far as the foetus are concerned are: how long he will remain in his mother’s womb, his life, his deeds, his provision, whether he is doomed (destined for Hell) or blessed (destined for Paradise), and – before it is fully formed – whether it will be male or female. But after it has been fully formed, knowledge of whether it is male or female is no longer the matter of the unseen, because once it has been fully formed it becomes the matter of the visible world, but it remains within the three layers of darkness which, if they were removed, it would be known what it is. It is not far-fetched to think that among the things that Allaah has created are powerful rays which can penetrate these layers of darkness so that it may become clear whether the foetus is male or female. The aayah does not clearly refer to knowledge of whether the foetus is male or female, and the Sunnah does not refer to that either. 

With regard to what the questioner refers to, that Ibn Jareer quoted from Mujaahid that a man asked the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) what his wife would give birth to, and Allaah revealed this aayah, this narration is munqati’ (interrupted), because Mujaahid (may Allaah have mercy on him) was one of the Taabi’een. 

The tafseer of Qutaadah (may Allaah have mercy on him) may be interpreted as meaning that Allaah Alone has knowledge of that so long as it has not yet been fully formed. But once the foetus is fully formed, then others may have knowledge of it. Ibn Katheer (may Allaah have mercy on him) said in his tafseer of the aayah from Soorat Luqmaan: “No one knows what Allaah wants to create in the wombs apart from Him, but once He decrees that it should be male or female, doomed or blessed, the angels who are appointed in charge of it know that, and whoever else He wills among His creation.” 

With regard to your question about what may make the general meaning of this aayah (“what is in the wombs”) more specific, we say that if the aayah was speaking about being male or female after the foetus is fully formed, then that which would make it more specific would be tangible facts. The scholars have mentioned the principles of making the general meanings of the Qur’aan and Sunnah more specific, which are a text, ijmaa’ (scholarly consensus), qiyaas (analogy), tangible facts or reason. Their comments on this matter are well known. 

But since the aayah does not refer to after the foetus is fully formed, but rather it refers to before that time, there is nothing in it that would contradict the idea of knowing whether the foetus is male or female. 

, there is not, and never will be, anything in reality that contradicts the unambiguous statements of the Qur’aan. The accusations made by the enemies of the Muslims against the Qur’aan, that things happen which outwardly appear to contradict the Qur’aan, arise from their misunderstanding of the Book of Allaah which stems from their bad intentions. But the committed Muslims and scholars have enough knowledge to discover the truth which will refute the specious arguments of these people. Praise and blessings be to Allaah. 

With regard to this matter, people may be one of two extremes, or a middle group. 

One extreme is to adhere to the apparent meaning of Qur’aanic verses which are not unambiguous, and to reject any certain facts that go against it. Such people either expose themselves to criticism, or they expose the Qur’aan to criticism, because their view contradicts the certain realities of everyday life. 

The other extreme is to turn away from that which is indicated by the Qur’aan and to adopt a purely materialistic approach. Thus one becomes a heretic. 

The middle path is to accept both the indications of the Qur’aan and the facts of reality. These people know that both of them are true, and that the unambiguous statements of the Qur’aan cannot contradict something that is well known and visible. They combine acceptance of the transmitted texts with reason, thus keeping their religious commitment and their intellect safe and sound. Allaah guides those who believe to the truth of that wherein they differ, and Allaah guides whom He wills to a Straight Path (cf. al-Baqarah 2:213). 

May Allaah help our believing brothers to achieve that, and may He cause us to be guided and to guide others, and make us righteous leaders. My strength is only in Allaah, in Him I put my trust and to Him I turn in repentance. 

 

REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/12368/is-knowing-the-sex-of-the-baby-part-of-the-knowledge-of-the-unseen

کیا پیدا ہونے والے بچے کی جنس معلوم کرنا غیب سے ہے

 

سوال
اس دور میں ڈاکٹروں کا یہ بتانا کہ ماں کے پیٹ میں بچہ ہے یا بچی اور اللہ تعالی کے اس فرمان: “اور وہ (اللہ تعالی) ہی جو کچھ رحم میں ہے جانتا ہے” کو کیسے جمع کر سکتے ہیں؟
اور تفسیر ابن جریر میں مجاہد سے نقل کیا گیا ہے کہ ایک شخص نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے عورت کے جننے کے متعلق سوال کیا تو اللہ تعالی نے آیت نازل فرمائی۔ اور وہ جو قتادہ رحمہ اللہ سے بیان کیا گیا ہے؟ اور اللہ تعالی کے اس عام قول کی تخصیص کیا ہے “جو کچھ رحموں میں ہے”؟ ان سب میں جمع کیسے ہے؟
 

جواب کا متن

الحمد للہ.

اس مسئلہ میں بات کرنے سے پہلے میں یہ پسند کرتا ہوں کہ یہ بیان کردوں کہ قرآن کریم کی صریح نص کے ساتھ واقع کا کبھی بھی تعارض نہیں ہوسکتا، اور جب کسی واقع میں یہ ظاہر ہورہا ہو کہ اس میں تعارض ہے تو یا تو وہ واقع صرف دعوی ہی ہوگا اس کی کوئی حقیقت نہیں ہوگی اور یا پھر قرآن کریم اس کے تعارض میں صراحت نہیں ہوگی، کیونکہ قرآن کریم کی صراحت اور واقع حقیقی دونوں قطعی ہیں اور دو قطعی چیزوں کے درمیان تعارض کبھی بھی ممکن ہی نہیں۔

تو جب یہ واضح ہو چکا تو ہوسکتا ہے کہ یہ کہا جائے: کہ آج کے اس دور میں جدید آلات کے ساتھ رحم میں جو کچھ ہے اسے دیکھا جاسکتا ہے،بچہ یا بچی کے علم کے متعلق جو کہا گیا ہے اگر تو وہ باطل ہے پھر تو اس میں کلام کرنے کی ضرورت ہی نہیں اور اگر یہ بات صحیح ہے تو پھر اسکا آیت کے ساتھ تعارض نہیں ہے کیونکہ آیت غیبی امور پر دلالت کرتی ہے جو کہ اللہ تعالی کے علم سے متعلق ہے اور وہ پانچ چیزیں ہیں، بچے کے غیبی امور یہ ہیں، ماں کے پیٹ میں کتنی مدت رہے گا، اس کی زندگی کتنی ہے، عمل کیسے ہوں گے، رزق کتنا ہوگا، نیک بخت ہے یا بدبخت، اور مکمل ہونے سے پہلے بچہ ہے یا بچی لیکن خلقت یعنی یہ پتہ چل جانا آیا وہ بچہ ہے یا بچی تو یہ علم غیب میں سے نہیں کیونکہ اس کی خلقت مکمل ہوجانے کے بعد علم شہادۃ میں آچکا ہے اور ان تین پردوں میں چھپا ہوا ہے اگر انہیں ہٹادیا جائے تو اسکا پتہ چل جائے وہ بچہ ہے یا کہ بچی، یہ کوئی بعید نہیں کہ اللہ تعالی نے ایسی شعائیں پیدا کر دیں ہوں جو کہ ان اندھیروں کو پھاڑ کر اندر سے دیکھنے کی صلاحیت رکھتی ہوں اور یہ پتہ چل جائے کہ بچہ ہے یا بچی اور پھر آیت میں بچے یا بچی کے علم کی تصریح نہیں اور نہ ہی سنت میں اس کا ذکر ملتا ہے

اور سائل نے جو مجاہد سے ابن جریر کا قول نقل کیا ہے، کہ ایک شخص نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے عورت کے جننے کے متعلق سوال کیا تو اللہ تعالی نے یہ آیت نازل فرمائی، تو یہ قول منقطع ہے کیونکہ مجاہد رحمہ اللہ تابعیین میں سے ہے۔

اور قتادہ رحمہ اللہ کی تفسیر کو اس بات پر محمول کرنا ممکن ہے کہ اللہ تعالی کا اس علم کو اپنے لئے خاص رکھنا یہ خلقت سے پہلے ہے یعنی مکمل ہونے سے قبل لیکن خلقت مکمل ہونے کے بعد دوسرے کو بھی علم ہوسکتا ہے۔

ابن کثیر رحمہ اللہ کا سورت لقمان کی تفسیر میں یہ قول ہے: اور اسی طرح اللہ تعالی جو رحم میں پیدا کرنا چاہتا ہے اسے کوئی اور نہیں جان سکتا لیکن جب اللہ تعالی نے اس کے بچہ یا بچی اور نیک بخت یا بدبخت ہونے کا حکم دے دیا تو ان فرشتوں کو جو اس کے لئے مقرر ہیں بھی علم ہو جاتا ہے اور اسکی مخلوق سے جسے وہ چاہے اسے بھی۔اھ

اور آپ کا یہ سوال کہ “جو کچھ رحموں میں ہے” کو خاص کیا چیز کرتی ہے تو اس کے متعلق ہم یہ کہتے ہیں کہ اگر تو آیت تخلیق کے بعد مذکر یا مونث کے متعلق ہے تو اسے واقع اور حس مخصص کرتی ہے، علماء اصول نے یہ ذکر کیا ہے کہ کتاب وسنت کی تخصیص یا تو نص یا اجماع یا قیاس یا حس یا عقل سے ہوتی ہے اور انکی یہ کلام معروف ہے۔

اور آیت سے مراد تخلیق سے قبل ہے تو پھر آیت کا تعارض کسی سے ہوتا ہی نہیں جو کہ مذکر ومونث کے علم میں کہا گیا ہے۔

اور اللہ تعالی کی تعریف اور شکر ہے کہ واقع میں ایسی کوئی چیز پائی ہی نہیں جاتی جو کہ صریح قرآن کے تعارض میں ہو، اور جو کچھ مسلمانوں کے دشمنوں سے قرآن کریم میں طعن کیا ہے کہ کچھ امور جو کہ ظاہری طور پر قرآن کے تعارض میں ہیں تو یہ سب انکی کم عقلی اور کم فہمی کا شاخصانہ ہے کہ وہ قرآن کو سمجھ ہی نہيں سکے یا پھر انکی نیت میں فتور ہے لیکن اہل علم اور دین والے بحث وتمحیث کے بعد اسکی حقیقت کو پاتے ہیں جو کہ ان کے شبہات کو زائل کرتا ہے اس پر اللہ تعالی کا جتنا شکر کیا جائے کم ہے اور اس کا احسان ہے۔

تو اس مسئلہ میں لوگوں کے دوگروہ ہیں اور ایک درمیانی راہ ہے۔

کچھ لوگوں نے تو قرآن کریم کے ظاہر کو لیا ہے جس میں اس کی کوئی صریح نص نہیں ملتی تو انہوں نے جو بھی اس کے خلاف ہو چاہے وہ یقینی معاملہ کیوں نہ ہو اس کا انکار کیا ہے، تو اس نے طعن کو اپنے ناقص نفس کی طرف کھینچ لیا، یا پھر قرآن میں طعن کیونکہ اس کی نظر یقینی واقع کے مخالف ہے۔

اور کچھ لوگوں نے جس پر قرآن دلالت کرتا ان سے اعراض کیا اور مادیت کے پیچھے چل نکلے تو یہ لوگ ملحد ہوگئے ۔

اور وسط اور درمیانی راہ والے لوگ یہ ہیں، انہوں نے قرآن کریم کی دلالت کو لیا اور واقع کی تصدیق کی اور یہ جان لیا کہ یہ دونوں حق ہیں اور یہ ممکن ہی نہیں کہ صریح قرآن کریم کسی ایسے ظاہر اور یقینی امر کے خلاف ہو تو انہوں نے منقول اور معقول دونوں کو جمع کیا تو اس بنا پر انکی عقلیں اور یہ دین بھی دونوں سلیم رہے، تو اللہ تعالی نے مومنوں کو اس چیز میں ہدایت دی جس حق میں وہ اختلاف کرتے تھے اور اللہ تعالی جسے چاہتا ہے سیدھے راہ کی ہدایت دیتا ہے۔

اللہ تعالی ہمیں اور ہمارے مومن بھائیوں کو اس کی توفیق دے اور ہمیں راہ ہدایت پر چلنے والا اور چلانے والا بنائے اور اصلاح کرنے والوں کا قائد بنائے، اللہ کی توفیق کے بغیر کچھ نہیں کرسکتا اور میں اسی پر توکل کرتا ہوں اور اسی کی طرف رجوع کرتا ہوں۔ .

 

 

REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/12368/is-knowing-the-sex-of-the-baby-part-of-the-knowledge-of-the-unseen

Table of Contents