Search
Sections
< All Topics
Print

22. Khair khuwaahi [Giving Counsel]

22- باب النصيحة 

22- KHER KHAWAHI KARNE KA BAYAN:

 

 

قال تعالى: (إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ إِخْوَةَ) (الحجرات: 10) ، 

وقال تعالى إخباراً عن نوح صلى الله عليه وسلم: (وَأَنْصَحُ لَكُمْ) (الأعراف: 62) ، 

وعن هود صلى الله عليه وسلم: (وَأَنَا لَكُمْ نَاصِحٌ أَمِينٌ) (الأعراف: 68) .

 

 

Allah taala ne farmaya : Momin to sab bhai bhai hain. 

aur Allah taala ne Hazrat Nooh (عليه السلام) ka qaul naqal karte hue farmaya : ” aur main tumhari kher khawahi karta hon .

aur Hazrat Hood (عليه السلام) ka qaul naqal farmaya : ” aur main tumhare liye kher khuwa aur amanat daar hon .”


وأما الأحاديث:

 

181- فالأول عن أبي رقية تميم بن أوسٍ الدارس- رضي الله عنه- أن النبي صلى الله عليه وسلم قال: ” الدين النصيحةُ” قلنا: لمن؟ قال: ” لله، ولكتابه، ولرسوله، ولأئمة المسلمين، وعامتهم” رواه مسلم.

 

Ahadees darj zail hain :

[ 181 ] Hazrat Abu Ruqiyah Tamim bin Auws daari (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya :” Deen kher khawahi karne ka naam ) hai. ham ne poochha, kis ki khair khawahi? aap ne farmaya : Allah ki us ki kitaab ki us ke Rasool ki Musalmanoon ke Hukmraanon ki aur Aam Musalmanoon ki. ( Muslim )

 

TAKHREEJ:

Sahih Muslim, al Imaan, baab bayan an-nad deen nasihat , Hadees : 55.

 

FAWAAID WA MASAIL:

1- Is mein kher khawahi ki ahmiyat o fazeelat aur is ki amoomiat ka bayan hai. Allah taala ki kheir khawahi ka matlab hai us par sahih tor par imaan rakha jaye aur us ki ibadat ikhlaas se ki jaye. kitaab Allah ki kher khawahi us ki tasdeeq, tilawat ka iltazam us ki tahreef se ijtinab aur us ke ehkaam par amal karna hai. Rasool ﷺ ki kheir khawahi yeh hai ke aap ( ﷺ ) ki risalat ki tasdeeq aap ( ﷺ ) ke hukum ki itaat aur aap ( ﷺ ) ki sunnaton ki pabandi ki jaye. Musalman Hukmraanon ki kheir khawahi ka matlab hai, haq mein un ki eaanat ghair maesiyat mein un ki itaat ki jaye woh seedhay rastay se inhiraf karen to unhein Maroof ka hukum diya jaye aur un ke khilaaf Kharooj o baghaawat se guraiz kiya jaye illa ye ke un se kufar Sarih ka izhaar ho. aur aam Musalmanoon ki kheir khawahi yeh hai ke un ki duniya o akhirat ki islaah ke liye un ki sahih rahnumai ki jaye unhein neki ka hukum diya jaye aur buraiee se roka jaye. 

2- daur haazir mein Ummat-e-Musalmah ki badhaali ki wajah yeh hai ke har shakhs dosray ko dao laganay par laga huwa hai. nah ham majmoi tor par Allah taala ke kheir khuwa hain nah Rasoolullah ﷺ ke aur nah aik dosray ke baray mein hamdardi aur kheir khawahi ke jazbaat hi rakhtay hain .

 

RAVI HADEES :

HAZRAT ABU RUQIYAH TAMIM BIN AUWS AL- DAARI (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) Tamim bin Auws bin kharja Daari. un ki kuniat Abu Ruqiyah hai. 9 hijri mein islam qubool kiya. Nabi ﷺ tak jusasa ki ittila pohanchanay walay bhi yahi chasham-o-chairag hain. Beiet-ul-Muqaddas mein sukoonat ikhtiyar ki. Ibn Sireen kehte hain ke yeh woh sahabi hain jinhon ne Qur’an kareem mukammal hifz kiya aur poora aik raat mein tilawat kar liya karte thay. Abu Naeem kehte hain ke Masaajid mein chairag roshan karne walay sab se pehlay yahi sahabi hain. Madinah ke rehaishi thay Shaam chalay gaye phir shahadat Usmaan ke baad Beiet-ul-Muqaddas chalay gaye aur 40 hijri ko Phalestine mein wafaat payi.

Bukhari-o-Muslim mein un ki 18 riwayaat hain .

 


182- الثاني: عن جرير بن عبد الله – رضي الله عنه – قال: ” بايعتُ رسول الله صلى الله عليه وسلم على إقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، والنصح لكل مسلم” متفقٌ عليه.

 

(182 ) Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) rivayet karte hain ke main naay Rasoolullah ﷺ se namaz ke qaim karne Zakat ke ada karne aur har Musalman ke sath kheir khawahi karne par baieat ki. ( Bukhari-o-Muslim )

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, al Imaan, baab qoul al-Nabi ﷺ : Ad-deen nasihat. .. lillah wali Rasoolihi wali aemmat il-muslimeen wa aammatihim. .. . Hadees : 57

Wa Sahih Muslim, al Imaan, baab bayan an nad deen nasihat, Hadees : 56.

 

FAAIDAH : 

Is se bhi baaham kheir khawahi ki ahmiyat wazeh hai ke Rasoolullah ﷺ namaz aur Zakat jaisay ahem tareen faraiz ki terhan sahaba (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ) se aik dosray ki kheir khawahi karne ki baieat letay they .


183- الثالث: عن أنس – رضي الله عنه – عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: ” لا يؤمن أحدكم حتى يحب لأخيه ما يحبٌ لنفسه” متفق عليه.

 

[183 ] Hazrat Anas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se rivayet hai Nabi Kareem ﷺ naay farmaya :” tum mein se koi shakhs is waqt tak ( kaamil ) Momin nahi ho sakta jab tak woh apne ( Musalman ) bhai ke liye bhi woh cheez pasand nah kere jo woh apne liye pasand karta hai. “

( Bukhari-o-Muslim )

 

TAKHREEJ :

Sahih ul-Bukhari, al imam, baab : minal Imaan an yuhiba li akheeh… hadees : 13, 

Sahih Muslim, al Imaan ,bab Al dalil Alaa an min khisaalil Imaan….Hadees: 45 .

 

FAWAAID WA MASAIL:

1-  Yeh hadees bhi Musalmanoon ki bahami kheir khawahi ki fazeelat aur us ki targheeb ke bayan mein hai. agar Musalman is hadees ke Muqtaza par amal karen to Musalman muashron mein jo lout khasoot, rishwat, bd-diyanti, jhoot firaib aur ja-al saazi waghera jaisi ikhlaqi bemariyan aam hain, yak lakht khatam ho jayen. 

2- Musalmanoon ko to un ke deen naay baday sunehri usool batlaaye hain lekin bad qismati se Musalman un sab se ghaafil hain aur yoon zillat aur bud ikhlaqi ki athah gehraion mein giray hue hain. 

هداهم الله تعالى.

 

 

REFERENCE:
BOOK: Riyaz us Saliheen(Urdu)
Taleef: Imam Nawawi Rahimahullah.
Urdu Tarjumah aur Fawaid: Hafiz Salah Uddin Yusuf.

 

 

Table of Contents