13. Al-Takhaaruj wal Tasaaluh ka bayaan.
Al-Takhaaruj wal Tasaaluh ka bayaan
Takhaaruj ka lughwi aur istilahi ma’ana
Lughwi: Takhaaruj baab tafaa’ul ka masdar hai. Jis kay ma’na Khurooj yani niklany kay hain.
Istilahi ma’ana: Ilm-e-Meeras mein takhaaruj usay kehtay hain. Jab koi waaris dosray waarison say baahami musaalahat kar lay keh woh tarka mein say koi mut’ayyan cheez lay kar ya tarka kay ‘ilawa koi aik cheez lay kar apnay shara’i hissa say dast bardaar ho jaye.
Takhaaruj ki qismein: Takhaaruj ki do qismein hain:
(1) jab koi waaris deegar sab waarison say musaalahat kar lay keh woh mutwaffa ki jaedaad mein say maslan makaan, Pilot, Ya dokaan waghera lay kar apnay baqi shara’i hissa say dast bardaar ho jaye ga.
Misaal: Aik shakhs apni Biwi, Beti aur Baap ko zindah chode kar faut ho gaya. Biwi nay Beti aur Baap say musaalahat kar li keh shehar wala makaan agar usay day diya jaaye to woh apnay baqi hissa say dast bardaar ho jaaye gi aur un kay darmiyaan say nikal jaye gi. Us ka tarka aik makaan aur 42000 rupay hai.
Hal: Is masla ko pehlay Biwi samait hal kiya jaaye ga. Asal masla (24) hai Biwi ko (1/8) (3) milay Beti ko (1/2) (12) milay aur Baap ko (1/6) farzan aur baqi t’aseeb (9) milay. Chunkeh Biwi masla say kharij ho gai hai. Is liye ab baqi tarka Beti aur Baap kay darmiyaan taqseem kiya jaye ga. In kay hisson ka majmo’ah (12+9=21) (21) hai ab yahi in ka naya asal masla hoga jis kay zar’iya baqi tarka taqseem kiya jaaye ga.
|
|
24 |
21 |
1/8 |
Biwi |
3 |
= |
½ |
Beti |
12 |
12 |
ع+1/6 |
Baap |
4+5=9 |
9 |
Beti ka hissa: 42000×12÷21= 24000 rupay hai.
Baap ka hissa: 42000×9÷21 = 18000 rupay hai.
Note: Agar hum musaaleh shakhs yani Biwi ko masla mein shaamil nah karein aur shuru hi say tarka ko Beti aur Baap kay darmiyaan taqseem karein to Beti ko is kay hissa say kam milay ga aur Baap zayaada lay ga. Aur donon kay darmiyaan tarka aadha aadha taqseem hoga. Yani Beti bhi 21000 rupay lay gi aur Baap bhi 21000 rupay lay ga, Jo ghalat hai.
(2) Jab koi waaris dosray waaris say musaalahat kar lay agar woh usay apnay khaas Maal say koi cheez day day to woh tarka mein say us kay haq mein apnay hissa say dast bardaar ho jaaye ga.
Misaal: Aik aurat apnay Khaawand, Maan aur ‘Aini Bhai ko zindah chode kar mar gai. Us ki jaedaad 124 aekadh zar’ayi zameen hai, Khaawand nay ‘Aini Bhai say musaalahat kar li agar woh usay apni gaadi day day to woh (Khaawand) us kay haq mein jaedaad mein say apnay hissa say dast bardaar ho jaaye ga.
Hal: Asal masla (6) hai Khaawand ko (1/2) (3) milay Maan ko (1/3) (2) milay aur ‘Aini Bhai ko (1) mila. Ab Khaawand ka hissa (3) ‘Aini Bhai ko milay ga. Is tarhan ‘Aini Bhai ka majmo’ah (3+1=4) 4 ho jaye ga.
|
|
6 |
6 |
1/2 |
Khawand |
3 |
– |
1/3 |
Maan |
2 |
2 |
ع |
Bhai |
1 |
3+1=4 |
❁ Tarka ki taqseem
Maan ka hissa: 24×2÷6 = 8 aekad
‘Aini Bhai ka hissa: 24×4÷6 =16 aekad
REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi